Be chain umangon ko beh'la k chale jana. .
Hum tum ko na roken ge bas aa k chale jana. .
Milne jo na aaye, tumy thee kon c majboori. .
Jhoota koi afsana dohra k chale jana. .
Jo aag lagi dil mein wo sard na ho jaye. .
Bujte huey sholon ko barhka k chale jana. .
Ujri nazr aati hai jazbaat ki haryali..
Tum is pay koi badal barsa k chale jana..
FurqAt ki azziyat mein kuch sabr bhi lazim hai. .
Ye baat mere dil ko samjha k chale jana. . .
