Urdu/hindi poetry
Sweetcapricorn 2012/02/25 14:36
1.Meri yadon se agr bach niklo to wada hai tm se
Mein khud dunia se keh dun ge kami meri wafa mein the
2.Bhut masruf ho shayad
jo hum ko bhul baithy go
Na ye pocha kahan ho na ye jana ke kaise hain hum.
3.khuda naseeb kare unko bht se khushian
wo pyare log jo hamin udas rakhtay hain
4.Teri yadon se bach niklun
mje tadbeer day koi
Meri janib se har rastata teri janib nikalta hai.

Hkhan 2012/04/17 14:28
Main ab aksar bethe bethe gum ho jata hu..
Main ab aksar main nahain rehta tum ho jata hu/smiley

Sweetcapricorn 2012/04/18 14:29
Hamin ab tak teri kuch na kehnay wali ankun se shikwa hai
hamin in muskuratay labun se shikwa h
hamaray shair sun kar khilkhilaty thay magr kuch na kehtay thay
na janay aisy lamhun mein teri sochun mein kitnay rang atay thay
tb hamaray khawb ,ankhain,chera sbi kuch teqi khatr tha
magr tm ne in qadar kye nhn kbi hamin tmse bs yahe shikwa hai.

Hkhan 2012/04/18 14:30
Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi. .
''Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi''/smiley….

Dhoondta Phirta Hun Yun Logon men Shabahat Uski. .
K “WO” Khawabon men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….

Uski Baatein Bhi DiL'aawez Hain Surat Ki Tarha..
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi../smiley

Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”?
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…-eye-

Sweetcapricorn 2012/04/18 14:36
Tm se baat karne ke adatein nhn the jb
yani darmian apne chahatein nhn the jb
khub soch laiti,khub bol laiti
lekin ab ye halat hai
tmse bt gar na ho
soch roth jati hai
lafz jo shanasa hain ashna nhn rhtay.

saahir 2012/04/19 10:18
Sweetcapricorn: Tm se baat karne ke adatein nhn the jb
yani darmian apne chahatein nhn the jb
khub soch laiti,khub bol laiti
lekin ab ye halat hai
tmse bt gar na ho
soch roth jati hai
lafz jo shanasa hain ashna nhn rhtay.


Lofzo'n ko zuba'n par na lao tum..
Ankho'n sey baya'n kar do..

Nazre'n niichi ho'n..
Labo'n pe tabassum ho..

Hum samajh lengey..
Tumeh humse mahobbat hai..

Sweetcapricorn 2012/04/19 15:18
Bhegi ankhun sy muskurane ka maza kuch aur hai
hastay hastay palkein bhegane mein maza kuch aur hai
baat keh ke to koi bi smjh jata hai
khamosi ko koi smjhy to maza kuch aur hai

Someone 2012/04/19 18:29
Kisiko Yun Rulaya Nahi Karte,
Jhoote Khwab Kisiko Dikhaya Nahi Karte,
Agar Koi Aapki Zindagi Main Khaas Nahi Hai,
To Usse Reh-Reh Kar Ye Ehsaas Dilaya Nahi Karte

Someone 2012/04/19 18:30
Dard Hota Hai Magar Shikwa Nahi Karte
Kon Kehta Hai Ki Hum Wafa Nahi Karte
Aakhir Kyu Nahi Badlti Taqdeer ‘Ashiqe’ Ki
Kya Mujhko Chahne Wale Mere Liye Dua Nahi Karte

Someone 2012/04/19 18:32
Andekha Anjaana Bachpan
Yaad Mujhey Jab Aata Hay
Kuch Pal Mujhey Hansata Hay
Per Har Pal Mujhey Rulata Hay
Chhotee Chhotee Batein Kuch
Dundhlee Dundhlee Yadein Kuch
Rouna Dhona Rooth Bhi Jaana
Masoumiyat Sey Sab Ko Mannana
Ghar Ka Aangan Aur Chobbara
Aksar Khwaboon Mein Mandhrata Hay

Sweetcapricorn 2012/04/20 00:45
Kehtay hain usay shehr k sub log masiha
woh shaks meray dard se anjan sa Q h
be adal he hoti hai yahan pyar ke taqseem
jo humse koi taluq he nhn rakhna chahta
us shaks ke loat ane ka imkan sa kyun h

saahir 2012/04/21 05:25
Sweetcapricorn: Kehtay hain usay shehr k sub log masiha
woh shaks meray dard se anjan sa Q h
be adal he hoti hai yahan pyar ke taqseem
jo humse koi taluq he nhn rakhna chahta
us shaks ke loat ane ka imkan sa kyun h


Dil mei ek kasak sii uth'ti hai..
Jab yaad us be-wafa ki aati hai..

Sochta hu'n bhool jau'n usey..
Lekin wo fir bhi uaad aata hai..

Hkhan 2012/04/21 18:09
Voh
. . . . .kuch
Ho. . Gai. . .
Tumse. .muhabt
. . . . .warna. . .

Hum. . . .voh. .
. . . .khudsar. . .
Hain. . . Jo. . Apni
. . . Bhi. . .
Tamanna. . . Nah
. . . . . . . Karain. . .

Hkhan 2012/04/21 20:19
Aziz itna hi rakho k ji bahal jaye...
Ab isqadar bhi nah chaho k dam nikal jaye. .

Hkhan 2012/04/21 20:25
Chalo acha hua
Tum bhol gaye
Ik bhol hi tha
Mera pyar o sajina...

Main samjho gi
Bhanvare nainaan
Dekh rehe thay sapne..
Kho kar tum ko
Hum ne samjha bahag mein tha ye apne..
Chalo acha hua tum bhol gaye. . .
Mun bhaggia mein aag bhari thi phol kahanse khilte..
Eik naddi k do thay kinaare kese bhala hum milte..
Chalo acha hua tum bhol gaye
Ik bhol hi tha mera pyar o sajina

Sweetcapricorn 2012/04/22 05:51
Woh kuch sunta to mein kuch kehti mje kuch aur kehna tha
Woh jo pal bhar ko ruk jata mje kuch aur kehna tha
Galat fehmi ne batun ko barha dala warna
Kaha kuch tha,woh smjha kuch tha,mje kuch aur kehna tha

Hkhan 2012/04/22 09:48
Samay k samandar kaha tu ne lakin suna par nah samjhe..

Javani ki naddi mein tha teez paani ''zara phir se kehna''

kahan se chala tha judai ka saya nahain dekh paya..

k raste mein thi ansu'on ki ravaani ''zara phir se kehana''


Sweetcapricorn 2012/04/22 12:18
Khuda kare sari umar mje manzil na milay
bht muskil se woh razzi hua h sath chalne ko.

Sweetcapricorn 2012/04/22 12:55
Kbi weran rastun par
koi anjan se dastak
agr tm ko sunae day
sada ke shakal mein a kar kahe
muhabt nam h mera
palat kar mat daikhna tm
ke is kare muhbt mein
aziat he aziat hai.

Hkhan 2012/04/22 17:44
Abhi to-dil- main halki si khalish mahsoos hoti hai...
Buhat mumkin hai kal iska muhabat naam ho jaaye..

Ujaale apni yaadoon k humhare sath rehne do. . .

Nah jaane kis galli mein zidagi ki shaam ho jaaye/smiley

Sweetcapricorn 2012/04/22 23:37
Mein agr kuch bolun to tm bura mann jatay ho
isse lye humne apne batun ko tmse chupa rakha hai.

Replies: 288

#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums