Urdu/hindi poetry
Sweetcapricorn 2012/02/25 14:36
1.Meri yadon se agr bach niklo to wada hai tm se
Mein khud dunia se keh dun ge kami meri wafa mein the
2.Bhut masruf ho shayad
jo hum ko bhul baithy go
Na ye pocha kahan ho na ye jana ke kaise hain hum.
3.khuda naseeb kare unko bht se khushian
wo pyare log jo hamin udas rakhtay hain
4.Teri yadon se bach niklun
mje tadbeer day koi
Meri janib se har rastata teri janib nikalta hai.

Hkhan 2012/04/03 12:28
Sitam dahao jahan walo tumhara hi zamana hai. . . .
Humain to zakhm kha kar bhi hamesha muskarana hai. . . .

Hkhan 2012/04/05 02:52
Hum dua likhte rehay,
voh dagha pahrtay rehay. . .
Eik nuqtay nay humain,
mahram say mujram kar dia. . . .

Sweetcapricorn 2012/04/09 00:33
Ishq kaisa ke bharosa bi na tha shaid
hamara to ussay koi rishta bi na tha shaid
woh ik badal jo meray naam se manusb hua
meray sehra mein to barsa bi na tha shaid/smiley

Trax 2012/04/11 16:16
/smiley nice topic
saahir 2012/04/12 09:31
[quote=Sweetcapricorn]Ishq kaisa ke bharosa bi na tha shaid
hamara to ussay koi rishta bi na tha shaid
woh ik badal jo meray naam se manusb hua
meray sehra mein to barsa bi na tha shaid/smiley[/
quote] Sehra mei'n kabhi barsaat nahi hoti Nadaan..
Badal aese hi nazara kar ke guzar jaatey hai'n..

Hkhan 2012/04/12 18:52
saahir: [quote=Sweetcapricorn]Ishq kaisa ke bharosa bi na tha shaid
hamara to ussay koi rishta bi na tha shaid
woh ik badal jo meray naam se manusb hua
meray sehra mein to barsa bi na tha shaid/smiley[/
quote] Sehra mei'n kabhi barsaat nahi hoti Nadaan..
Badal aese hi nazara kar ke guzar jaatey hai'n..
in barishon se dosti achhi nahain faraz.
Kacha tera mukaan hai kuch to khayaal kar/smiley

Hkhan 2012/04/12 18:58
Sweetcapricorn: Ishq kaisa ke bharosa bi na tha shaid
hamara to ussay koi rishta bi na tha shaid
woh ik badal jo meray naam se manusb hua
meray sehra mein to barsa bi na tha shaid/smiley

Khayal o khawab hui hain muhabatain kaisi..
Hawa mein naach rehi hain yeh wahshatain kaisi..
Hawa ke dosh pa rakhe huaye charag hain hum..
Jo bujh gaye to hawa se shakayatain kaisi../smiley

Hkhan 2012/04/12 19:31
Kab mera nasheman
Ahal e chaman
Gulshan mein
Gawara karte hain..
Ghunche apni awaazon
Mein bijli ko
Pukara karte hain..

Puncho nah arriq rukhsaaron se
Rangeeni e husn ko bharne do.
Sunte hain k
Shabnam ke
Qatare pholon ko nikhara karte hain..

Ab nazza ka alam hai mujh par tum apni muhabat wapis lo.

Jab kashti dobne lagti hai
To bhoaj uttara karte hain.

Jaati hui maayat dekh k bhi wallah tum
Uth kar aa nah sake.

Do char qadam to dushman bhi
Takleef gawara karte hain. .


Hkhan 2012/04/12 19:43
Tu saan ku dukhi kita dukh vi te tenhdhe hin..
Thehar k te inha das ja qasoor kehre mendhe hin..
Kandia di jholi pake sanku giyan roal way.
Piyar de aae badale dite sanku anmol way.
Hor vi tu dainda javain dukh rakhe kehre hin.
. . . . .
O kaich di rah
Mainku dak nah maaye..
Main wanjna kaich zaroor hy.
Dil majboor hy.
O kaich di raha
Koh toor da surma,
Bhanvain tatri wang tandoor
Dil majboor hy.
Sajna bhaj galam firda.
Aj bechna sahda koor hy
Dil majboor hy.
. . . . .

Hkhan 2012/04/12 20:17
Chhap tilak sab cheeni ray

mosay naina milaikay

Prem bhatee ka madhva pilaikay

Matvali kar leeni ray
mosay naina milaikay

Gori gori bayyan,

hari hari churiyan

Bayyan pakar dhar leeni ray

mosay naina milaikay

Bal bal jaaon

mein toray rang rajwa

Apni see kar leeni ray

mosay naina milaikay

Khusrau Nijaam

kay bal bal
jayyiye

Mohay

Suhaagan keeni ray

mosay naina milaikay

Chhap tilak sab cheeni ray

mosay naina milaikay..
/smiley

Sweetcapricorn 2012/04/13 14:58
Har rishtay ko azmaya hai meine
Kuch paya par bht kuch ganwaya hai meine
Har us shakhs ne rulaya he bht
Jis jis ko iss dil mein csaya hai meine.

Sweetcapricorn 2012/04/13 15:04
Muhabaton ne kaisa kamal kr dala.
Hamin to udasiun ke misal kar dala
Kbi milain to pochain gay ik dujay se
ke ksko kske gam ne nidhal kar dala
tu bta usay kia kahun ge meim
meri udasi pe jo ksi ne sawal kar dala
suna tha zindagi ka safar bht muskil hai
or hum ne kar ke muhbt or be mahal kar dala.

saahir 2012/04/13 19:43
Kisi ki yaadon mei bas ke
Na kahna yaadon se nikal jao

Ha'n tum agar chaho
Mere jivan se nikal jao

Magar itna yaad rakna
Yaadon se na nikal pao gee.

Sweetcapricorn 2012/04/14 01:09
Hum ne chaha tha aik aisy shaks ko Galib
Jo ainay se bhi nazuk tha par tha pathar ka...

saahir 2012/04/14 01:26
Humne bhi patthar ke sanam puje hain
Phool ki patti se bhi nazuk dil tha jiska

Lekin uss Bewafa ke irade
Kayee zkhm de gaye

Sweetcapricorn 2012/04/14 01:31
Tm jo roothay kabhi to manna lun ge tmko
Magar daikho....
Muhabbaton mein meri shamil koi dusra na ho..

saahir 2012/04/14 01:41
Dil mera wo ayeena hai jis mei'n
Bass ek hi tasveer sama sakti hai

Cheer kar dekh le iss mei
Shayed koi samaya ho

Sweetcapricorn 2012/04/14 01:58
Ussay ye shak ke mein uskay lye jaan na day paun ge
Mje ye daar hai ke roye ga bht woh azmaa ke mje.

Hkhan 2012/04/14 08:31
Ab kya likhain hum kaagaz par ab likhne ko kya baaki hai. .
Ek dil tha wo bhi toot gaya ab tootne ko kya baaki hai. .

Ek shakhs ko humne chaha tha,Ek rait pe naqsh banaya tha..
Wo rait to kab ki bikhar gai, Wo naqsh kahan ab baqi hai. .

Hum jinko apni nazmoon ka unwan banaya karte the.
Lafzo ka bana Ke Taaj Mahel kaaghaz pe sajaya karte the..
Wo Humko akela chhor gaya Sab rishton se munh mor gaya..
Ab raaste saare sune hain wo pyar kahan ab baaqi hai.

Ab kya likhen hum kaagaz pe wo lafz kahan ab baaqi hai

Hkhan 2012/04/14 08:35
Sweetcapricorn: Hum ne chaha tha aik aisy shaks ko Galib
Jo ainay se bhi nazuk tha par tha pathar ka...

Inhi patharon pa chal ke agar aa sako to aao..
Mere gahar ke raastay mein koi kehkishaan nahain hai..

Replies: 288

#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums