Urdu/hindi poetry
Sweetcapricorn 2012/02/25 14:36
1.Meri yadon se agr bach niklo to wada hai tm se
Mein khud dunia se keh dun ge kami meri wafa mein the
2.Bhut masruf ho shayad
jo hum ko bhul baithy go
Na ye pocha kahan ho na ye jana ke kaise hain hum.
3.khuda naseeb kare unko bht se khushian
wo pyare log jo hamin udas rakhtay hain
4.Teri yadon se bach niklun
mje tadbeer day koi
Meri janib se har rastata teri janib nikalta hai.

Sweetcapricorn 2012/04/26 12:55
Sansun se bndi zanger hai
teray honton ke muskan ye
jb bi daikha tera chehr
nazrun ne daira dal dya

GhAyAl 2012/04/26 17:38
Qadam Chokhat Pe Rakhte Hi Ye Bazoo Phail Jate Hain ...
Muhabbat Say Nikal Aaye Hain Aadat Se Nahi Nikle...!!!

GhAyAl 2012/04/26 17:39
Duniyan ki vosaton main hum khud hi kho gaye
Or jis ki justajo thi os ka pata nahi...!
Poet: Ahmed Shareef

GhAyAl 2012/04/26 17:40
Zindagi k haseen tarkash main,
Kitnay bereham teer hotay hain,
Ay Adam ehtiyat logoon say,
Log munkar nakeer hotay hain.

GhAyAl 2012/04/26 17:42
ab mout se kaho hum se narazgi khatam kar le.,,,,
wo bht badal gaya jisk liye hum jia karte the.

GhAyAl 2012/04/26 21:39
Wo na aaye unki yaad aakar wafa kar gai,
Unse milne ki tamanna sukun tabaah kar gai,
Aahat hui, socha, asar dua kar gai,
Darvaja khola to dekha;
Majaak hamse havaa kar gai

Sweetcapricorn 2012/04/28 15:15
Nahein fursat yaqeen manno mje kuch aur karne ke

ae hum dam

teri baatein,teri yadeen,bht masroof rakhti hain.

GhAyAl 2012/05/01 10:08
/smiley come back plz
GhAyAl 2012/05/01 17:22
Muj se mat poch k keyon ankh jukha li main ne, teri tasver thi tuj se hi chupa li main ne.

Jis pe likha tha k tu mere muqdar main nahi, apne mathay ki wo tehrer hi mita li main ne.

Gehray rehti hai muj ko ek anokhi khushbu, teri yadon se her ek saans saja li main ne.

Jis k sheron ko wo sun k bohat roya tha, bas wohi ek gazal sab se chupa li main ne.

GhAyAl 2012/05/01 17:23
rasme ulfat ko nibhaye toh nibhaye kaise har taraf aag hai daman ko bachaye kaise

dil kee rahon me uthaate hain jo duniya wale koyee kehde ke woh diwar girayen kaise

dard me doobe huye naghme hazaro hain magar jab ye dil tut gaya ho toh sunaye kaise

bojh hota jo ghamo kaa toh utha bhee lete zindagi bojh banee ho toh uthayen kaise

rasme ulfat ko nibhaye toh nibhaye kaise har taraf aag hai daman ko bachaye kaise

GhAyAl 2012/05/01 17:23
Us k chubtay hue lehjay mein chupa pyar bhi tha.

Wo mujhy likhta ha k muntazir na raho lakin. Us ki tahreer mein sadion ka intzaar bhi tha.

Wo kehta ha mat rutho k mananaa nahi aata. Meri narazgi pe lakin wo bekarar bhi tha.

Main shayad phir na likhta usy apni khabar. Dosti ka bharam rakhna tha kuch dil be_ikhtiar bhi tha.

Shayad yehi us ka anadaz-e-mohabat ho. Wo mera hum dam bhi tha sitam shuaar bhi tha

GhAyAl 2012/05/01 17:24
main ne is tor se tujhey chaha aksar jaisey mehtab ko be ant samandar chahey jaisey sooraj ki kiran seap k dil main utrey jaisey khoshbo ko hawa rang se hat kar chahay jaisey pathar k kalejy se kiran photti hay jaisey ghunchay khiley mousam se hina mangtey hain jaisey khoabon main khayalon ki kaman totti hay jaisey barish ki doa aabla pa mangtey hain mera har khoab merey sach ki gawahi de ga wosat_e_deed ne tujh se teri khahish ki hay meri soochoon main kabhi dekh sarapa apna main ne dunya se alag teri parasthis ki hay
GhAyAl 2012/05/01 17:24
Itni muddat baad mile ho! Kin sochon main gum rehte ho?

Itne khayef kyon rehte ho? Her aahat se darr jaate ho

Taiz hawa ne mujh se poocha Rait pe kya likhte rehte ho?

Kaash koi humse bhi pooche Raat gaye tuk kyon jaage ho?

Main darya se bhi darta hoon Tum darya se bhi gehre ho!

Koun si baat hai tum main aisi Itne ache kyon lagte ho?

Peeche mur ker kyon dekha tha Patthar ban ker kya takte ho?

Jaao jeet ka jashan manaao! Main jhoota hoon, tum suche ho

Apne sheher ke sub logon se Meri khatir kyon uljhe ho?

kehne ko rehte ho dil main! Phir bhi kitne door khare ho

Raat humain kuch yaad nahin tha Raat bohot hi yaad aaye ho

Humse na poocho hijr ke qisse Apni kaho ab tum kaise ho?

Mohsin tum badnaam bohot ho Jaise ho, phir bhi ache ho

GhAyAl 2012/05/01 17:26
Dil ne tanha jhaili raat Hijr ki raat, sahaili raat

Din waale kab boojh sake Mushkil shaam pahaili raat … Ik safe ki tashreehein Chand, chakor,chanbaili, raat

Din apne har dard ka dost Is ki aik sahaili raat

Ik sunsaan nagar har saans Ik weeraan hawaili raat

Is ka roop har kie dhoop Meri sard hathaili raat

Is ki aankh se chalke shaam Us ki zulf se khaili raat

Mohsin ke anjaam ke naam Hijr ki naii nawaili raat……..!!

GhAyAl 2012/05/01 17:27
hum jante hai tum bhi hame auro ki tarah chhod kar chale jaoge... phir har ghadi har pal dhadkan se pahle tum yaad aaoge...

kuchh waqt shayad tumbhi tadfoge hamare liye... par baad me dhire dhire bite huye kal ki tarah hame bhul jaoge...

Sweetcapricorn 2012/05/06 15:39
Teri yadoon se bach niklun mje tadbeer day koi
aye meray Hamdam

meri janib se har rasta teri he janib kyun nikalta hai.

GOKUKING 2012/05/08 12:49
nice bro ones more new poertry
Sweetcapricorn 2012/05/09 00:29
Tum haqeqat hn ya faraib meri ankhun ka
meray Sajan
na dil se nikaltay ho na zindagi mein atay ho.

saahir 2012/05/09 09:28
Na haqueekat na fareb samjho tum..
Nazro'n ka dhoka bhi nahi hu'n..

Mai'n toh ek khwab hu'n..
Dekho aur bhool jao mujhe..

Sweetcapricorn 2012/05/10 15:31
Tujh mein aur mujh mein farq sirf itna hay
Terey kuch kuch mein hun aur mera sub kuch tu hay

Replies: 288

#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums