2WAP
← Back
Zahid ne mera hasil-e-eman nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
Har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha
Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage
Main ne magar ae deeda-e-hairaan nahin dekha
Kya kya hua hungaam-e-junoon yeh nahi maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahin dekha
Share WhatsApp Facebook X Telegram SMS
saahir
Garebaan toh majnu ne bhi chaak kiya tha apna
Parantu maine jab kabhi apna gareban chak kiya
Apni laila ko kabhi iss qadar hairaan nahi dekha
8 years ago
Sarcastic
Its a gazal sung by abeda parveen..
8 years ago

Log in or join to comment.