Mujhko kya khabar mere jaane ke baad
Ek aur afsana likha gaya mere afsane k baad
Ashq to tere bhi nikle mere akhiri gaane k baad
Royi thi tu bhi bahut mere jaane k baad
Teri nafrat ne hi mujhe ye Taaqat di hai
Mujhe shohrat aur tujhe zalalat di hai
Gir to sakta tha main bhi teri auqat pe
Magar mere Maa-baap ne mujhe kafi sharafat di hai
Bin Teeli K lage yun jalna chhod do
Chor bazaron me yun tahalna chhod do
Bik jayega ek din tumhara sabkuch dunia me
Aur log kahenge tumse Ki hath malna chhod do
Bachkani lehron ko samandar nahi kehte
Hawaon K jhonkon ko bawandar nahi kehte
Jigar rakhte ho to karo kuch kaam anokha
Bheed me mast shehzadon ko Sikandar nahin kehte
Dedicated 2 all copy-pasters of 2wap:
Copy se kar ke hi paste na karo,
Apna time yun waste na karo,
Karo kuch dhang ka ya na Magar kaam kuch karo
Choose hue Aam ko hi taste na karo
Pyaar me dhoka karne walo ko hi sachha pyaar mila karta hai
Dar dar bhatak ke bhi ashiq tera kaha koi gila karta hai
Logo ne kiya tujhe hai istemal aur chhod diya besahara
Fir bhi na samjhi tu unki chal,
Tabhi to ajkal b tujhe wahi dhokha mila karta hai