Mere Lahoo Se Jale Teri Zindagi Ke Diye by GhAyAl 2012/05/09 10:41
Agar Tu Aaj Hi Kar De Mohabbat Humsafar Meri… Kathin Hai Zindagi Kitni Safar Dushwar Kitna Hai

Kabhi Pao’n Nahi’n Chalte Kabhi Rasta Nahi’n Milta

…Faqat Aise Guzaroo’n To Ye Rozo Shab Nahi’n Kat-Te

Ye Kat-Te The Kabhi Pehle Magar Haa’n Ab Nahi’n Kat-Te

Mujhe Phir Bhi Mere Maalik Koi Shikwa Nahi’n Tujhse

Main Jaa’n Pe Khel Sakta Hoo’n, Mai’n Har Dukh Jhel Sakta Hoon

Agar Tu Aaj Hi Kar De Mohabbat Humsafar Meri…

GhAyAl 2012/05/15 18:38
Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya Har kisi ke liye Tera milna hai uss rab ka ishaara Maano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuch toh hai tujh se raabta Kuch toh hai tujh se raabta Kaise hum jaane, hume kya pata Kuch toh hai tujh se raabta Tu humsafar hai, phir kya fikar hai Jeene ki wajah hi yehi marna issi ke liye Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya Har kisi ke liye

hmm Meharbaani jaate-jaate mujh pe kar gaya Guzarta saa lamha ek daaman bhar gaya Tere nazaara mila, roshan sitaara mila Taqdeer ki kashtiyon ko kinara mila Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye Teri saubat mein duaayein hain ussi ke liye Tere milna hai uss rab ka ishaara Maano mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye Kuch toh hai tujh se raabta Kuch toh hai tujh se raabta Kaise hum jaane hume kya pata Kuch toh hai tujhse raabta

Tu humsafar hai, phir kya fiqar hai Jeene ki wajah hi yehi marna issi ke liye Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya Har kisi ke liye

GhAyAl 2012/05/16 18:53
Maine Uske Kadmo Me Apni Jaan Rakhdi… Ae Dost Par Manga Jab Us Se Apna Hi Dil To Usne Kaha.. Choti C Chiz Hi To Thi Na Jane Kaha Rakhdi.?/smiley((
GhAyAl 2012/05/16 19:50
Bikhar rahi hai meri zaat usey kehna, Kabi mily to yahi bat usey kehna

Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera, Magar AB koi nai mery sath usey kehna

Usey kehna k bin us k din nahin kat?ta, Sisik sisik k kat’ti hai raat usey kehna

Agar who phir b na lotey to aey meherban, Hamari zeest k halaat usey kehna..!

Her jeet us k naam ker rahi hoon main, Main manti hoon apni haar usey kehna..

GhAyAl 2012/05/18 09:50
Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo, Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo, Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo, Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo, Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se, Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo, Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon, Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo, Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera, Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo
GhAyAl 2012/05/18 09:51
Lahu lahu hai har ek sange rah guzar Jaanaaa Hua na tha yun mere dard ka safar Jaanaaa....

Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jaanaaa...

Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jaanaaa..

Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah-o-saal huye Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jaanaa....

GhAyAl 2012/05/19 07:30
Jab bant raha tha khushi rab... Usne pahle hi ye ailan kiya...

Mohabbat jin jin ko karni hai... Wo log khush hone ka naam bhi na le...

GhAyAl 2012/05/24 18:49
us ny meri gumshudda beeyaz nikali or chupky sy mohabbat ka warq moor deya

Hum ko maloom tha anjam-e-mohabbat hum ny akhri harf sy pehly he qalam toor deya

GhAyAl 2012/05/24 18:50
Tumhien maloom bhi hai key mein tanha jee nahi sakta Meri adat badalne tak mery sath reh jao
GhAyAl 2012/05/24 18:52
Yaad Aye Tu Aankhain Band na kerna Hum Chalay Bhi Jaye Tu Ghum Na kerna

Zaroori tu Nahi Har Rishte ka Koi Naam Ho Magr Pyar Ka Ehsaas Kabhi Dil se Kaam Na Kerna

GhAyAl 2012/05/24 18:53
Aab Key Wabasta Nahi Tujh Se Wafa Ki Umeed.

Ab Kabhi Tu Mujhe Dhoka Na De Paye Ga...

GhAyAl 2012/05/24 18:55
Dastars me hai tera phool sa chehra lakin,

Us ko chhune se bikhar jane ka dar lagta hai.

GhAyAl 2012/05/24 18:57
Zindagi Mein Jo Hum Chahte Hai Wo Aasani se Nahi Milta Lekin Zindagi Ka Sach yeh hai k Hum Bhi Wo Chahte hain Jo Aasan Nahi hota
GhAyAl 2012/05/24 19:01
Meny us se kha koi jhoot bolo mujh se...

Wo muskuraya or bola tum bohat yaad atay ho....

GhAyAl 2012/05/24 19:02
Na guzra kar un galiyon se jahan wo sath tha. Wo galian b tarp uth’ti hain tujhe akela dekh kr,
GhAyAl 2012/05/24 19:08
Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi

Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They Jo Pyar Ki Baatein Kertey They … Jab Bahar Ka Mousam Aata Tha Aur Phool Pyar K Khiltey They

Mast Nasheeli Shamon Mein Pyar Se Do Dil Miltey They

Ik Roz Woh Basti Ujer Gai Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai

Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga

Deewaney Phirtey Rehtey Hein Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein

Iqrar Kisi Se Na Kerna Pyar Kisi Se Na Kerna.

GhAyAl 2012/05/24 19:10
Agar hum door ho jayein kahin duniya mein kho jayein batao kya karo gi tum? Hamain dhoondo gi ya Phir …Hamain bhool jao gi Hamain awaz do gi Ya phir Kisi Guzri Kahani mein Hamara Naam Likh Do Gi Chalo Aisa Hi Kr Lena Tum Khud bhi Badal Jana Hamein Tum Bhol hi Jana Magar itni Guzaris Hay Hamara Zikr Jab aaye Thoda muskura dena Khushi ka ho ya Gham Ka ho Bas Ek Aansu Baha dena…
GhAyAl 2012/05/24 19:12
dil e wehshi ko ab qarar kaha? visal o hijr ki baatein ,shabab o jaam kaha? jis aainey mey teri surat sambhal rkhi thi gira jo haath se phir woh sambhal ska hey kaha? merey mizaj ko raas agai hey teri jafa woh meri aah o fughaan,chashm e tarr,dil e pursoz kaha? samajh ska hey woh kb sun k meri uljhan ko usey to apney alawa kisi se kaam kaha?
GhAyAl 2012/05/24 19:15
na Gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhanaa mere dard ki aab-o-tab mein mujhe dekhanaa

kisi vaqt shaam e malaal mi.n mujhe sochanaa kabhi apane dil ki kitaab mein mujhe dekhnaa

kisi dhun mein tum bhi jo bastiyon ko tyaag do isi rah-e-Khaanaa_Kharaab mein mujhe dekhnaa

kisi raat maah-o-najum se mujhe puchhnaa kabhi apanii chashm e pur_aab mein mujhe dekhnaa

isi dil se ho kar guzar gaye kai kaaravan ki hijraton ke azaab mein mujhe dekhanaa

main na mil sakun bhi to kya hua ke fasana hun nai daastan naye baab mein mujhe dekhnaa

mere Khaar Khaar savaal mein mujhe Dhundna mere geet mein mere Khwab mein mujhe dekhnaa

mere aansuon ne bujhaai thi meri tashnagi isi bargazeeda sahab mein mujhe dekhanaaa

wohi ik lamhaa e deed tha ke rukaa rahaa mere roz-o-shab ke hisaab mein mujhe dekhna

jo tarap tujhe kisi aainey mein na mil sake to phir aainey ke jawab mein mujhe dekhnaa

GhAyAl 2012/05/24 19:17
Kabhee Aabad Karta Tha . . Kabee Barbaad Karta Tha . . Sitam Woh Roz Ik Naya Ijad Karta Tha .

Zamana Hogaya Leykin Khabar Lene Nahi Aaya . . Woh Jo Panchi Roz Mairay Naam Par Aazad Karta Tha

GhAyAl 2012/05/24 19:19
Yun rah-e-wafa ki saleeb par, Tere do qadam uthane ka shukria Bara pur khatar tha ye rasta, Tere laut jane ka shukria

Jo udaas hain tere hijr mein, Jinhein bojh lagti hay zindagi Sar-e-bazm yun unko dekh kar, Tere muskurane ka shukria

Teri yaad kis kis bhais mein, Mery sher-o-nagme mein dhal gai Ye kamal tha teri yaad ka, Mujhy yaad aaney ka shukria

Jo asool tha zamane bhar ka, Wo asool tu ne nibha diya Yahi rasm thehri hay motabr, Mujhy bhool jane ka shukria.....!!!!!

Replies: 177

#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums