Sochata hun ek din duniya chor kar
chala jaunga,
lakin is zindagi ka khwab pura
nahin kar paunga;
Ho sake to maaf kar dena nahi to marne ke baad kabhi tumse milne nahin aaunga,
yun to bahut se gum hai zindagi me,
ik tera gum he is dil mein nahi saja
paunga;
ik tum hi ho meri Qayenat ho, jise main marne k baad bhi chahunga;
agar tum chahti ho to bahut dur
chala jaunga,
tumhe kabhi apna ahsas nah dilaunga;
maine socha bhi nahin tha k zindag se ye inaam paunga, ki tumhe maut k baad bhi nah bhula paunga;
Tumhare har aansu ko apne saath
bahut door le jaunga, aasmaan se tum per khushiyan lutaunga;
jab bhar jayega tumhara daman khushiyon se,
yo sukun ki neend so jaunga ………
aur phir ek khwab sajaunga………..
