Skip to content

Kang'gan

dad_ash · Aug 20, 2011 16:58 18 107
dad_ash OP
Aug 20, 2011 16:58
kaash mein. . . Tere haseen haath ka kang'gan hota. . . Tu bare pyaar se. . . Bare chaao se. . . Bare aramaan ke saath. . . Apni naazuk si, kalaai main charhaati mujh ko. . . Aur betaabi se furqat ke Khizaan lamhon main. . . Tu kisi soch main doobi. . . Jo ghumaati mujh ko. . . Mein tere haath ki Khushbu se mahak saa jaata. . . Jab kabhi mood main aa kar mujhe chuma karati. . . Tere honton ki shiddat se. . . Mein dahak sa jaata. . . Raat ko jab bhi. . . Tu nindon ke safar par jaati. . . Mar'marien haath ka ik takiya banaya karati. . . Mein tere kaan se lag kar. . . Kai baatien karata. . . Teri zulfon ko. . . Tere gaal ko. . . Mein chuma karata. . . . Jab bhi tu band qaba kholane lagati jaanaan. . . Apani aankhon ko. . . Tere husn se khira karata. . . Mujh ko betaab saa rakhata. . . Teri chaahat ka nasha. . . . Mein teri ruh ke gulashan main mahakata rahata. . . . Mein tere jism ke aangan main khanakata rahata. . . kuchh nahin to yahi benaam sa bandhan hota. . . kaash mein tere. . . Haseen haath ka kangan hota. . . .
18 replies
haris
Aug 20, 2011 17:05
#1
Tharki Gaalibsmiley
dim_star
Aug 20, 2011 17:06
#2
Lovly l like it
dim_star
Aug 20, 2011 17:08
#3
Raat Ko jab bhi tu Nendn K safar Pay Jaati Mar mareein haath Ka Takiya banaya Karti
dim_star
Aug 20, 2011 17:13
#4
As_Ash: kaash mein. . . Tere haseen haath ka kang'gan hota. . . Tu bare pyaar se. . . Bare chaao se. . . Bare aramaan ke saath. . . Apni naazuk si, kalaai main charhaati mujh ko. . . Aur betaabi se furqat ke Khizaan lamhon main. . . Tu kisi soch main doobi. . . Jo ghumaati mujh ko. . . Mein tere haath ki Khushbu se mahak saa jaata. . . Jab kabhi mood main aa kar mujhe chuma karati. . . Tere honton ki shiddat se. . . Mein dahak sa jaata. . . Raat ko jab bhi. . . Tu nindon ke safar par jaati. . . Mar'marien haath ka ik takiya banaya karati. . . Mein tere kaan se lag kar. . . Kai baatien karata. . . Teri zulfon ko. . . Tere gaal ko. . . Mein chuma karata. . . . Jab bhi tu band qaba kholane lagati jaanaan. . . Apani aankhon ko. . . Tere husn se khira karata. . . Mujh ko betaab saa rakhata. . . Teri chaahat ka nasha. . . . Mein teri ruh ke gulashan main mahakata rahata. . . . Mein tere jism ke aangan main khanakata rahata. . . kuchh nahin to yahi benaam sa bandhan hota. . . kaash mein tere. . . Haseen haath ka kangan hota. . . .
GULSHAN GULSHAN DARIYA KINARE IK PAL KO NA REHTI DOORI NA KOI HOTI MAJBOORI TU SAJNI MAIN SAJAN HOTA KASH MAIN TERE HAATH KA KANGAN HOTA BHEGTA BARISH MAIN SANG TERE DEKHTA TUJH KO SHAM SAWERE REHTA ZULFOON KI CHAOON MIAN CHALTA PIYAR BHARI RAHOON MAIN TUJH KO HAR PAL YAAD MAIN REHTA RASMOON SE AAZAD MAIN REHTA HANSTA GATA HAR DIN HOTA KASH MAIN TERE HAATH KA KANGAN HOTA KASH MAIN TERE HAATH KA KANGAN HOTA TERE ROOP KA DARPAN HOTA MUJH PE FIDA TERA MAN HOTA DIL KI TERE DHADKAN HOTA KASH MAIN TERE HAATH KA KANGAN HOTA
dad_ash OP
Aug 20, 2011 17:21
#5
Shukria sweetpoison pahrna ke liye ,correction karne k liye aur apni khobsorat nazam share karne ke liyesmiley
dim_star
Aug 20, 2011 17:23
#6
As_Ash: Shukria sweetpoison pahrna ke liye ,correction karne k liye aur apni khobsorat nazam share karne ke liyesmiley
Nahe crrectionh nahe keya ye es nazam ka jawb tha anywys thx
da-whizkhid
Aug 20, 2011 17:23
#7
hello, i want to chat please, in english
dad_ash OP
Aug 20, 2011 17:40
#8
sweet_poison: Nahe crrectionh nahe keya ye es nazam ka jawb tha anywys thx
Lutf aaya 'jawab e shikawa' pahr karsmiley @ Allah kare andaz e biyan ho aur ziyada. .
dim_star
Aug 20, 2011 18:11
#9
haris: Tharki Gaalibsmiley
wll its nt galib nazam its wasi shah's buk ankhein bheeg gati hain
haris
Aug 20, 2011 18:12
#10
sweet_poison: wll its nt galib nazam its wasi shah's buk ankhein bheeg gati hain
mjhe kya
dim_star
Aug 20, 2011 18:26
#11
haris: mjhe kya
smiley
dim_star
Aug 20, 2011 18:26
#12
haris: mjhe kya
smiley
haris
Aug 20, 2011 18:27
#13
sweet_poison: smiley
smiley
dad_ash OP
Aug 20, 2011 23:17
#14
Topic spoil karna koi tum se sekhe haris smiley
EpIcInCoGnItO
Aug 21, 2011 06:23
#15
Wonderful piece smiley
ZALAND
Aug 21, 2011 09:18
#16
kaash!!!!
__NaUtY_aKkI__
Aug 21, 2011 09:26
#17
kya baat hai yar.... diary likho bhai...
As_Ash: kaash mein. . . Tere haseen haath ka kang'gan hota. . . Tu bare pyaar se. . . Bare chaao se. . . Bare aramaan ke saath. . . Apni naazuk si, kalaai main charhaati mujh ko. . . Aur betaabi se furqat ke Khizaan lamhon main. . . Tu kisi soch main doobi. . . Jo ghumaati mujh ko. . . Mein tere haath ki Khushbu se mahak saa jaata. . . Jab kabhi mood main aa kar mujhe chuma karati. . . Tere honton ki shiddat se. . . Mein dahak sa jaata. . . Raat ko jab bhi. . . Tu nindon ke safar par jaati. . . Mar'marien haath ka ik takiya banaya karati. . . Mein tere kaan se lag kar. . . Kai baatien karata. . . Teri zulfon ko. . . Tere gaal ko. . . Mein chuma karata. . . . Jab bhi tu band qaba kholane lagati jaanaan. . . Apani aankhon ko. . . Tere husn se khira karata. . . Mujh ko betaab saa rakhata. . . Teri chaahat ka nasha. . . . Mein teri ruh ke gulashan main mahakata rahata. . . . Mein tere jism ke aangan main khanakata rahata. . . kuchh nahin to yahi benaam sa bandhan hota. . . kaash mein tere. . . Haseen haath ka kangan hota. . . .
Aman.Rana
Dec 10, 2013 14:30
#18
nice good and lovly sad ghazal