arz kia h by romioravi2 2012/01/16 16:56
mila wo b ni karte
mila hm b ni karte
gila wo b ni karte
gila hm b ni karte
hame h tanhai ka dukh
to unhe h ruswai ka gum
shikayat wo b ni karte
shikayat hm b ni karte
rah me hota h jub b takraw
to aksar
ruka wo b ni karte
ruka hm b ni karte
unhe dekhte h jub b to sochte h unse kuch kahe
suna wo b ni karte to kaha hm b ni karte

GhAyAl 2012/01/20 07:57
"Chalo Mohsin mohabbat ki NAyi bunyaad rakhtay hain, "Khud paband rehtay hain, usay azad rakhtay hain....…

"Hamaray khoon main Rab ne yehi taseer rakhi hai,,,, "Burai bhool jatay hain achai yaad rakhtay hain….... ... "Mohabat main kaheen hum se gustakhi Na ho JAe,,,,,,,,, "Ham apna hAr qadam us k qadam k baad rakhtay hain...!!!

GhAyAl 2012/01/20 07:58
Mat “DOOR” jana hum say kabi itna,

K “WAQAT” k “FAISLAY” pay “AFSOAS” ho jaey,

Kya pata kabi tum lot k aao ... . or Ye “DIL” Hamesha k liye “KHAMOSH” ho jaey....♥

GhAyAl 2012/01/20 08:00
mat roko unhe mere janaaze me shaamil hone se......... shayad dono ka jannat me milna na ho paaye........ khuda ko chhod karr jo humne unhe apni taa umar pooja....... kahin hum khuda k gunahgaar na ho jaaye...
GhAyAl 2012/01/20 08:02
Zara si dair me khali haen meri ankhen,

Main apne ashak tere raste me kho chuka

GhAyAl 2012/01/20 08:03
Hzaroon gham hain lakin ankh se tapkay nahi aanso,, Hum ahl-a-zarf hain peetay hain chalkaya nahi kartay...!
GhAyAl 2012/01/20 08:07
Dobe hoe taron ka ye matam nahin karti, Charhate hoe soraj ki pursatar hai dunia.
GhAyAl 2012/01/20 08:07
Zara to kam hoen tanhaian parinde ki, Abb aik khof bhi is ashianay me rehta hai.
GhAyAl 2012/01/20 08:11
Zehan k sab raste jate hain yadoon ki taraf, Kam se kam ik rasta rehta bholane k lie.
GhAyAl 2012/01/20 16:29
Mumkin hai har dard ki dawa neend ho laikin

hotay hain kuch aise dard bhi jo sonay nahi detay.

GhAyAl 2012/01/20 16:30
Main qasad kaise bhaijon milon ga khud aa kar tumhain jo daikh laita hai tmhara hi ho jata hai..
GhAyAl 2012/01/20 16:32
Mujhe chor de mere haal per, Tera kya bharosa aey chaara gar,

Teri mukhtasir si nawaazishein, Mera dard aur barha na dein.

GhAyAl 2012/01/20 16:34
Phir Daaman-E-Umeed Wo Phoolon Se Bhar Gaya,

Jaadu Bhari Nigah Se Jaadu Sa Kar Gaya

Bus Dekhty He Dekhty Duniya Badal Gayi,

Kuch Sochty He Sochty Chehra Utar Gaya

Be-taab Be-qarar Tha Pehle He Dil Bahot,

Phir us ka Aana Aur Bhi Be-taab KarGaya

Ik Be-khudi Ka Naam Muhabbat HaiDosto,

Chaahat Mein Kis Ko Hosh Hai Kia Kia Guzar Gaya

Kuch Bhi Pata Nahi Hai Muhabbat Mein Ay "MohsiN"

Kab Raat Subha Ban Gai Kab Din guzar gaya...

GhAyAl 2012/01/21 08:37
Dil bhi sath us k dharakta ho zarori to nahin, Hath jis ka mere hathon me nazar ata hai.
GhAyAl 2012/01/21 08:39
Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei

Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei

Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei

GhAyAl 2012/01/21 08:40
Mere baad tere liye saari dunya baqi hai, Mere Sath Guzre Pal Zehan-Nasheen Mat Karna..!!
GhAyAl 2012/01/21 08:42
Tere Laut Aane ka Intezar karta hoon Dekh main tujh “Se kitna “PYAR” karta hun, Main Banata hun kagaz pe teri tasweerein. Phir un Se Baatein “HAZAAR” karta hun, Tere Dukh bhi khuloos-E-Niyat “Se, Apne dukhon mein “ShUmAR” karta hun, “Sach “Samjhta hun jhoot Bhi tera, Youn main tera “AiTBaR” karta hun, Aaj “Bhi “Sochta hun to meri ankhein “Bheeg jati hain. Ae jan e Ghazal main tum “Se itna “PiYAR” karta hun….!
GhAyAl 2012/01/21 08:43
Log Mujh Se Mil Kar Bichher Jate Hain Is Liye Main Logon Se Door Rehta Hon

Mat Samjho Ke Aate Nahi Adaab-E-Mulaqaat Mujhe Khaloos Ka Banda Hon Aadat Se Majbor Rehta Hon

Jin Se Barha Mera Rabta Gham He Mila Ab Raabte Nahi Barhata Bohat Masroof Rehta Hon

Log Mujhe Kehte Hain Be-Murawat Aur Khud Gharz Farebi Dekho Main Kitne Ache Naamon Se Mash-hor Rehta Hon

Her Waqt Khoya Rehta Hon Khud Ki Talaash Mein Bohat Thak Gaya Hon Ghamon Se Choor Rehta hon.

GhAyAl 2012/01/21 08:51
Badalte Is Zamane Ne Sabko Badal Diya Is Hawa Ke Har Khayal Ko Badal Diya Par Uska Dil Koi Q Na Badal Saka Jiske Liye Humne Apne Apko Badal Diya....
GhAyAl 2012/01/21 08:52
Hum apne hatho ko dekhte hue soch rahe he!

ye zindgi kiske naam kare,

uske naam jo dil ki dhadkan me he,

ya fir uska naam jo haatho ki lakhiron mein he.

GhAyAl 2012/01/21 21:17
Tanhai Ki Jaan Jalaon, Yunhi Saari Raat

Khud Hi Ghar Par Dastak Du , Or Khud Hi Puchun ''Kaun''

Replies: 70

#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums