arz kia h by romioravi2 2012/01/16 16:56
mila wo b ni karte
mila hm b ni karte
gila wo b ni karte
gila hm b ni karte
hame h tanhai ka dukh
to unhe h ruswai ka gum
shikayat wo b ni karte
shikayat hm b ni karte
rah me hota h jub b takraw
to aksar
ruka wo b ni karte
ruka hm b ni karte
unhe dekhte h jub b to sochte h unse kuch kahe
suna wo b ni karte to kaha hm b ni karte

GhAyAl 2012/01/18 09:21
Maut per b mujhe yaqeen hai, tum per b aitebar hai..___

Daikhna hai pehle kon ata hai, mujhe dono ka intezar hai...

GhAyAl 2012/01/18 09:22
woh guzren meri gali se yahi umeed lagaye baithe hain

Suraj ki roshni kahin kam na pade is liye dil jalaye baithe hai........

GhAyAl 2012/01/18 09:25
Mohabbat may dil ka tootna tum kbhi nai jan pao gay, "Faraz" Agar larkiyon may wafa hoti to pathan kabhi londy baz na hotay
GhAyAl 2012/01/18 09:26
Wo Din B Bhala Hoga Qismat B Bhali Hogi

Jab Samne Aankhon K MADINE K Galli Hogi

Mahsus Yehi Hoga Din Phir Se Nikal Aya

AQA K MADINE Me Jb Sham Dhali Hogi.

GhAyAl 2012/01/18 09:28
"kafan ka girah khool k mera Deedar oh karlo" "jaan" "band ho gayi hain woh aankhain jin se tum Sharmaye karthi thi.
GhAyAl 2012/01/18 09:29
Ankhon mein aansu aa jate hain rone se pehle Har khwaab toot jata hai soney se pehle Ye Ishq ik Gunaah hai, ab samajh payee hum Kash koi rok leta honey se pehle........
GhAyAl 2012/01/18 09:32
Mout ka aalam daikh kar toh zameen bhi 2 ghaz jaga dy deti hy

Ay KHUDA.

Phir ye insan kia cheez hy jo zinda rehne par bhi dil mein jaga nhin deta...

_EdGE_ 2012/01/19 16:48
Ai mere pyaare watan wah wah wah wah
ai mere pyare watan
ai mere bichde chaman
tujhpe dil kurban ,tujhpe dil kurban


Wahwah kamal ho gaya
-hahaha-

_nICK_ 2012/01/19 17:05
kya baaat hai aaj 2wap per shayari ki khoobsurat mehfill saji hai !
romioravi2 2012/01/20 02:13
Quote: AaQiB-dOn: Ai mere pyaare watan wah wah wah wah
ai mere pyare watan
ai mere bichde chaman
tujhpe dil kurban ,tujhpe dil kurban


Wahwah kamal ho gaya
-hahaha-
ai vatan ai vatan homko teri kasam

romioravi2 2012/01/20 02:15
Quote: _nICK_: kya baaat hai aaj 2wap per shayari ki khoobsurat mehfill saji hai !
ha nick ji aap invited h mahfil me

GhAyAl 2012/01/20 07:47
Wo Aksar Bhool Jane Ki Shikayat Hum Se Karte Hain,

Main Jis Ko Yaad Rakhne K Siwa Kuch Bhi Nahi Krta.

GhAyAl 2012/01/20 07:47
Dil Tha Ameer Aur Muqaddar Gareeb Tha Mil Kar Bicharna Mera Naseeb Tha

Chah Kar Bhi Kuch Na Kar Sake Hum Dil Bhi Jalta Raha Aur Samndar Bhi Kareeb Tha...

GhAyAl 2012/01/20 07:49
Sardiyon ki raat..., Meri khirki ka chaand.. aur karwatain badlta main..., Na raat katay.. Na chand dhalay... Na tum aao.. Na neend aaye..
GhAyAl 2012/01/20 07:50
Ye Sab Rastey Ke Saathi The , Inhe Aaakhir Bicharna Tha

Chalo Ab Ghar Chalen Mohsin , Bohut Awargi Kar Li

GhAyAl 2012/01/20 07:53
Main Aksar Usay Kehta Hoon "Tum Shoor Bohat Machati Ho"

Phir Woh Mujh Se Kehti Hai' Jab KaLa'i Meri Tum Pakro Gay Choori To Meri Khankay Gi Choori Ka Shoor To Hota Hai

Jab Pyar Se Mujhe BuLa'o Gay Tab Dorr K Main To Aaongi Phir PayaL Meri Khankay Gi PayaL Ka Shoor To Hota Hai

Jab Bindiya Meri Chamkay Gi Yeh Aankh Main Tere Damkay Gi Jazbay Phir Shoor Machayen Gay Jazboon Ka Shoor To Hota Hai

Zu|f Meri Su|jhaatay Howay Jab Gajray Ko Bikhra'o Gay Tab Saansain Meri Mehkain Gi Saanson Ka Shoor To Hota Hai..!!"

GhAyAl 2012/01/20 07:54
Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, To dil ko dard nahi hota. Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hain.
GhAyAl 2012/01/20 07:54
Dushman ko bhee seene se lagana nahin bhoole Hum apne buzurgon ka zamana nahin bhoole

Tum aankhon ki barsaat bachaaye huye rakhna Kuch log abhi aag lagaana nahin bhoole

Ye baat alag haath qalam ho gaye apne Hum aapki tasveer bananaa nahin bhoole

Ik umr huyee main to hansi bhool chuka hoon Tum ab bhee mere dil to dukhaana nahin bhoole

GhAyAl 2012/01/20 07:55
Roshan Chehra, Bheegi Zulfein, Kis Ko Kis Par Doo'n Tarjeeh,

Aik Qaseeda Dhoop Ka Likhoon, Aik Ghazal Barsaat K Naam....

GhAyAl 2012/01/20 07:56
Bohat anmol rishte ka guror toot gaya... Choti si khata par jb wo rooth gaya.. Khwab sajaye jiske sath umr bher k aaj pal bhar mn hi uska sath choht gaya.
Replies: 70

#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums