2WAP

-:Meri Zindagi Ka Falsafa:-

3 replies 78 views
Paida hua to hawaon ne sath na diya Roya bahut magar dawaon ne sath na diya Khatkhataya bahut maut ki adalat ka darwaja Mar jata magar gawahon ne saath na diya. Chalna to sikha magar ladkhadate huye Darta tha har ek kadam badate huye Thehra bhi Gira bhi Sambhla aur Utha bhi Saahas bhi paya dar ko harate huye. School jab pahucha to Anjaan mile Dost bhi dushman ke samaan mile Vishwas kiya mene sab par magar Mujhe umidon ke sirf tute makan mile Bada hua to pyaar ki khwahish na thi Gum tha magar aansuo ki barish na thi Khushi bhi mili to gairon ki tarah Jab ankhon me uski sifarish na thi Ab pata hoon khud ko Jivan ke is mod pe Laga nahi sakta ilzaam kisi aur pe Jo bhi hoon jaisa hoon Main hoon alag sabse Tamacha hoon main is duniya ke dhong pe.

Log in or join to reply.