2WAP

Zindagi Sikha Deti Hai

2 replies 85 views
Apne dard aur gum ka kisi se zikar na kar Zindagi sikha degi sab kuch, Tu fikar na kar Thokar khana to riwaaz hai zamane ka Ijjat gawana bhi ek tareeka hai ijjat kamane ka Tu kuch nahi janta to jan jayega Waqt ke sath sabko pehchan jayega Kisi ke shabdo ka bojh apne dil pe lekar na mar Zindagi sikha degi sab kuch, Tu fikar na kar Maana ki tune galtiyaan hazaar ki hain Lekin ghode se girta to ghudsawar hi hai Dekh tere aaspas kaun sarvgun sampann hai? Hota nahi itna kuch, Sochta jitna tera man hai Khud apni galatfehmiyon ki kaal-kothri me band rehkar na dar Zindagi sikha degi sab kuch, Tu fikar na kar

Log in or join to reply.