2WAP

MAA MUJHE ISS DUNIYA ME AANE TO DE

16 replies 292 views
prakrati ki den hu me rab ki hu ek kalaa abhi bani bi nahi poori me bagwan ko muje poora banaane to de, maa mujhe iss duniya me aane to de. nahi banungi bojh tere sar ka, beta bankar dikhaungi iss gar ka, kuch kar dikhane ki himmat jutaane to de, maa mujhe iss duniya me aane to de. kise hak he mujhe maarne ka, mere armaano ko yu zinda gaadhne kaa, tu bi kisi ki beti he, apne aap ko beti ki maa kahalaane to de maa mujhe iss duniya me aane to de.
#2
bhagwan ki bani ek kali hu main, swarg ki baahon mein pali hu main, teri beti bankar milne aayi hu tujhse,tu hi saanse chheenna chahti hai mujhse, abhi puri tarah mujhme saans lane to de, maa mujhe iss duniya me aane to de.
#3
GhoSTRiDeR: I don't think any other topic on 2wapworld made me so emotional while reading than this one...
im a woman bt still sayin that women are worst enemy of women. Its women who are responsible of baby girl killing directly or indirectly. its really shame for us that even though there r many ladies leadin in India, still v think girls as unwanted n consider only boys as GHAR KA CHIRAG OR KULDEEPAK. we really need to change this attitude.
#9
Duniya mei aane ke baad mai'n ney dekha.. Yaha'n durgha bhi puji jatii hai.. Laxmi ko samman diya jataa hai.. Maa ka adar kiya jata hai.. Uska ashirwad liya jata hai.. Magar Seeta ka kya kusoor tha..? Usey agni prik'sha deni padii.. Mother Mary ke aagey matha teka jata hai.. Beebi Fatima ki kasam khayee jati hai.. Prantu patni ko s'than nahii diya jata.. Vidhwa patnii ko achhoot , Aur manhoos samjha jata hai.. Shayed isii karan beti ko, Duniya mei'n aney se roka jata hai.. Haa'n magar kuchh log.. Usey samman dene lagey hai'n.. Par samajhney wale khoob jantey hai'n.. Aurto'n ko samman ke naam par.. Uneh adh nanga dikha kar.. Paisey kamaaey jaatey hai'n.. Pahele zamaney mei'n.. Uneh nanga nachaya jata tha.. Ab sirf nanga dikhaya jata hai.. Uss samay bhi uneh zinda jalaya jata tha.. Uneh zinda dafnaya jata tha.. Aaj bhi samay nahi badla hai.. Kewal tarika badal gaya hai.. Usey ab kokh mei hii dafna diya jaata hai..
#13
Awesome!
saahir: Duniya mei aane ke baad mai'n ney dekha.. Yaha'n durgha bhi puji jatii hai.. Laxmi ko samman diya jataa hai.. Maa ka adar kiya jata hai.. Uska ashirwad liya jata hai.. Magar Seeta ka kya kusoor tha..? Usey agni prik'sha deni padii.. Mother Mary ke aagey matha teka jata hai.. Beebi Fatima ki kasam khayee jati hai.. Prantu patni ko s'than nahii diya jata.. Vidhwa patnii ko achhoot , Aur manhoos samjha jata hai.. Shayed isii karan beti ko, Duniya mei'n aney se roka jata hai.. Haa'n magar kuchh log.. Usey samman dene lagey hai'n.. Par samajhney wale khoob jantey hai'n.. Aurto'n ko samman ke naam par.. Uneh adh nanga dikha kar.. Paisey kamaaey jaatey hai'n.. Pahele zamaney mei'n.. Uneh nanga nachaya jata tha.. Ab sirf nanga dikhaya jata hai.. Uss samay bhi uneh zinda jalaya jata tha.. Uneh zinda dafnaya jata tha.. Aaj bhi samay nahi badla hai.. Kewal tarika badal gaya hai.. Usey ab kokh mei hii dafna diya jaata hai..
Share WhatsApp Facebook X Telegram SMS

Log in or join to reply.