2WAP

Kya Hoon Main

3 replies 148 views
Kya hoon main aur kya samajhte hai, Sab raaz nahi hote batane wale, Kabhi tanhaiyo mein aakar dekhna, Kaise rote hai sabko hasane wali
#1
Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay Andaaz badal lena,awaaz badal lena Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena Awaaz agar do to katra k nikal jana Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
#2
Aay Chaand usay kehna!!! Wo jo door bohut door basta hai Usay koi yaad karta hai Or behisaab karta hai Usay kehna Jab wo ksi or k sang hansta hai Tu phir door bohut door kisi ka dil dharakta hai Or jab wo udaas hota hai Pass us k na koi gham shanaas hota hai To phir door bohut door ksi ki aankhoo’n say laho barasta hai Aay Chaand usay kehna!!! Jisay wo choorr aaya hai Jisay wo toorr aaya hai Wo aaj b aas pass basta hai Teray pass pass basta hai…..

Log in or join to reply.