2WAP

Shikayat bhi nahain ki

dad_ash
Oct 8, 2011
Iss Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki.. Had yeh ke Dharakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki.. Tabeer Ka Aeizaaz Hua Hai Ussey Hasil.. Jisne Mere Khawaboon Mein Shiraakat Bhi Nahi Ki.. Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar-e-Shehar.. Logoon Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki.. Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhaate Hain Jinhoon Ne.. Do Chaar Qadam Tay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki.. Kya Apni Safaayi Mein Bayaan Dete Ke Humne.. Na Karda Gunaahi ki Wazaahat Bhi Nahi Ki.. Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar-e-Bazm.. So Zakham Sahey Dil Pe , Shikaayet Bhi Nahi ki. . . Iss Ghar Ke Sabhi Log Mujhey Chorney Aaye Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki Ussne Bhi Ghulamoo Ki Safoo'n Mein Humein Rakha Iss Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki
Share WhatsApp Facebook X Telegram SMS

No comments yet. Be the first.

Log in or join to comment.

More from dad_ash

Enjoying 2WapWorld?

Join free to reply, chat and make friends — it takes 30 seconds.

Join free Not now