2WAP

Magar voh aankh

dad_ash
Oct 8, 2011
Agar talaash karuun koi mil hi jaayegaa... Magar tumhaari tarah kaun mujhko chaahegaa... Tumhein zaruur koi chaahaton se dekhegaa.. Magar vo aankhein hamaari kahaan se laayegaa? Naa jaane kab tere dil par nai si dastak ho... Makaan Khaali huaa hai koi to aayegaa... Main apani raah mein diivaar ban ke baithaa huun... Agar vo aayaa , kis raaste se aayegaa. . Tumhaare saath ye mausam farishton jaisaa hai.. Tumhaare baad ye mausam bahut sataayegaa

No comments yet. Be the first.

Log in or join to comment.

More from dad_ash