Skip to content

**Chehra hai ya chand khila hai**

Swt.Raaz · Feb 28, 2014 00:17 6 43
Swt.Raaz OP
Feb 28, 2014 00:17
Ho.. chehra hai ya chand khila hai Zulf ghaneri shaam hai kya Sagar jaisi aankhon waali Yeh to bata tera naam hai kya... Chehara hai ya chaand khila hai Zulf ghaneri shaam hai kya Sagar jaisi aankhon waali Yeh to bata tera naam hai kya... Arre tu kya jaane teri khaatir Kitna hai betaab yeh dil Tu kya jaane dekh raha hai Kaise kaise khwaab yeh dil Chehra hai ya chand khila hai Dil kehta hai tu hai yahan to Jata lamha tham jaaye Waqt ka dariya behte behte Is manzar mein jam jaaye Tune diwanaa dil ko banaya Is dil pe ilzaam hai kya Sagar jaisi aankhon waali Yeh to bata tera naam hai kya Ho.. aaj main tujhse door sahi Aur tu mujhse anjaan sahi... Tera saath nahin paaoon to Khair tera armaan sahi... Yeh aramaan hain shor nahi hon Khamoshi ke mele hon Is duniya mein koi nahi ho Ham donon hi akele hon Tere sapne dekh raha hoon Aur mera ab kaam hai kya Sagar jaisi aankhon waali Yeh to bata tera naam hai kya Chehra hai ya chaand khila hai Zulf ghaneri shaam hai kya Sagar jaisi aankhon waali Ye to bata tera naam hai kya..
6 replies
sweety4u
Feb 28, 2014 03:22
#1
nyc song smiley
Daisy55
Feb 28, 2014 04:51
#2
Lovly song bf
-LILY-
Feb 28, 2014 05:17
#3
nice song... .musica.
Nisha.
Feb 28, 2014 12:39
#4
Nice mr raaz
dipeeka
Mar 2, 2014 17:16
#5
Boom boom mst hai song
_ShAnE_StArK_
Jan 11, 2016 06:23
#6
Wow....lovely