[Pal Bhar Mein...]
Rebellion 2014/01/18 05:16
Nakal kar kar ke to pal bhar me Me bhi dher laga du
Magar apne Zameer se dar dar ke Mere Kar kamlo se kewal apne hi shabd likh saka hu
Dar dar pe Khai hai thokar bhi mene Magar safar abhi bhi jaari hai
Har har mahadev Jai Siya ram ke naaron sang ghar se nikli ye sawaari hai
Na khoya Na paya Na Soya na jaaga Me akela abhaga Mera saaya hi mera saathi raha
Jo boya wo paya Jo rone ko aya Aansu pochne ko Maa thi kahan
Na tha koi apna Paraya Na koi dil me samaya Jeevan ko maine na Zara bhi saha
Na hai koi karja bakaya Na koi sapna dikhaya fir bhi Gum me hi gujra hai Baaki sama
Na hasna Na rona Khud hi khud me Khona Dunia ko lagta tha pagal hoon main
Dil mera khilona Murakh khele jo na Magar kheloge kaise Udta badal hoon main
Majak hoon main Haso na, Bolo tum dost hi hona? Logo ki bewafai ka saagar hoon main
Jo aaye Sataye Koi mujhko bataye Kya Aisi hi dunia ke layak hoon main?