* musafir kyaa kare *
2 replies
Avatar
Swt.Raaz
2014/01/13 04:16
Manzilo Pe Aa Ke Lootate Hai Dilon Ke Caaravaan Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hai Pyaar Ki Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah (2) Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa (2) Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah Doobne Waale Ko Tinke Kaa Sahaaraa Hi Bahot Dil Bahal Jaaye Fakat Itnaa Ishaaraa Hi Bahot Itne Par Bhi Aasmaan Waalaa Giraa De Bijaliyaan Koi Batlaa De Zaraa Yeh Doobtaa Fir Kyaa Kare Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah Pyaar Karnaa Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa Kaabil-E-Maafi Huaa Karte Nahin Aise Gunaah Sangdil Hai Yeh Jahaan Aur Sangdil Meraa Sanam Kyaa Kare Josh-E-Junoon Aur Hauslaa Fir Kyaa Kare Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare,......
Avatar
-Prince-
2014/01/13 19:16
W0o0W RealLy N!!!CE...
Avatar
SOHAIL-KHAN
2014/01/16 02:44
:Nic:
#53 Creative Work
Poetry, stories, lyrics, quotes, life lessons and more. Prepare to be moved and inspired.
Forums
Home