Sweetcapricorn: Zindagi ke is haseen rah guzar par
milay jo koi tmko hamnwa apna
to hath tham laina tm
usko aik bt kehna ye
ke ae meray hamnawa
meri sans ka kia bharosa hai
mera aik kam karo tm apna nam bs meray nam karo
bs yahe aik kam karo
Lo Tham Lo
In hatho'n ko
Ha'n magar ek shart hai
Hath thamo toh
Sath sath hi chalna
Chahe duniya ruth jaye
Chahe zamana chhoot jaye...