Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena Awaaz agar do to katra k nikal jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena