zindagii kis tarah guzregi ab aaraam ke saath tu mera naam jo le leta hai ilzaam ke saath
mujhse aa aa ke sabhi poochhenge tere baabat kab talak baat chhupaa paaunga anjaam ke saath
ab tow tanhaiyon mein ghir ke yehi sochta hun umr bhar yaad kiya jaaunga bad_naam ke saath
apne daaman ko bacha kar tu chala ja mujhse de ja ruswaiyan kuch aur bhi in’aam ke saath
mujhse ik bhool hui tujhse muhabbat kar li bhool jaa mujh ko mere pyaar ke payeGhaam ke saath
zindagi tark e talluq mein kategi kaise bass “khayal†itna bata jaa mujhe ifhaam ke saath