Urdu/hindi poetry
288 replies
Sweetcapricorn
Feb 25, 2012 14:36
1.Meri yadon se agr bach niklo to wada hai tm se Mein khud dunia se keh dun ge kami meri wafa mein the 2.Bhut masruf ho shayad jo hum ko bhul baithy go Na ye pocha kahan ho na ye jana ke kaise hain hum. 3.khuda naseeb kare unko bht se khushian wo pyare log jo hamin udas rakhtay hain 4.Teri yadon se bach niklun mje tadbeer day koi Meri janib se har rastata teri janib nikalta hai.
GhAyAl
Feb 25, 2012 14:57
Hmmm nice
_EdGE_
Feb 25, 2012 17:38
Nice poetry smiley
Someone
Mar 11, 2012 10:02
Can i post one here? smiley Yaha Mukammal nahi hoti saari umeede sabhi ki. Jaise umar kat jati ho intezar mai kisi ki.. A khudhaa tu bata de mjhe aaj itna tu… kyo likhi meri taqdeer aise.. Jaise ho an suni fariyaad kisi ki..
2US2
Mar 12, 2012 16:55
Jo tu ne num1 pa shaer rakha hy wo lajawab hy
2US2
Mar 14, 2012 11:55
Nah TUM itnay haseeN hotay NAH HUM TUM pa fida hotay.... NAH TUM rotay NAH HUM rotay nah dil say dil juda hotay... Yeh tere RAISHMI GASU YEH TERI MADH BHARI AANKHAIN... Yeh tere hunt yeh khanjer ki tarah palkian mer dil ki dua hotay..
2US2
Mar 17, 2012 17:38
Afsos tumne mujhko samjhnay mein bhool ki... khuddar tha balla ka magar baywafa nah tha... Dunya hazar zulm karay uska gham nahain... Maara jo tumne phool voh pathar se kam nahain... Hum ne chaha tha k mar jayain ijjazat nah mili.. Maut ko bhi voh mere dil ki aarzo samjhay... Teri khushi kay liye tera piyar chhor chalay.. Nikal kay teray chaman say bahar chhor chalay.. Humain khud pani tabahi ka gum nahain lakin.. Malal yeh hai tujhe sogwar chhor chalay..
2US2
Mar 17, 2012 17:44
Humain apna nahain jaan e tamanna gum tumhara hai. . . . k tum kis par sitam furmao gay jab hum nahain. . . sitamgar umid e karam ho gi jenhain ho gi. . . humahain to dikhna yeh hai k tu zalim kahan tak hai. . .
2US2
Mar 17, 2012 17:53
Kuj inj vi rahvaan okhiyan sun. . . kuj ghum da gal vich taoq vi si. . . kuj shehar day laug vi ZALIM sun. . . kuj sahnu maran da shaoq vi si. . . .
Sweetcapricorn
Mar 17, 2012 19:26
Vipul: Can i post one here? smiley Yaha Mukammal nahi hoti saari umeede sabhi ki. Jaise umar kat jati ho intezar mai kisi ki.. A khudhaa tu bata de mjhe aaj itna tu… kyo likhi meri taqdeer aise.. Jaise ho an suni fariyaad kisi ki..
so sweet vipul one more plzsmiley
Someone
Mar 17, 2012 19:29
Sweetcapricorn: so sweet vipul one more plzsmiley
Dard Hota Hai Magar Shikwa Nahi Karte Kon Kehta Hai Ki Hum Wafa Nahi Karte Aakhir Kyu Nahi Badlti Taqdeer ‘Ashiqe’ Ki Kya Mujhko Chahne Wale Mere Liye Dua Nahi Karte…
2US2
Mar 18, 2012 03:02
Kisi ki aankh jo purnum nahain hai... Nah samjho usko koi gham nahain hai... Sitamgar roak lay ab hath apna... Sitam sehnay ka mujh mein dam nahain. . . TUM ko GHAROOR E HUSN hai HUM ko SAROOR E ISHQ. . . TU bhi nashay mein chur hai hum bhi nashay mein chur... Rahain WOH LAUG jo bazm e jahaan ki roaniq hain... Humhara kya hai agar hum rehay ,rehay nah rehay. . .
2US2
Mar 18, 2012 03:11
Sunat hu unhain hans hans k dard e dil kay afsanay... Kahain aisay mein unki aankh bhar aai to kya ho ga! Kaun hota hai teray gham pa parishaan nasir... Woh to apni hi kisi baat pa roaye hu gay... Jo hum nay dastaan apni sunai aap kyun roay... Tabbahi to humharay dil pa aai aap kyun roay... Nah ro aay dil kahain ronay say taqdirain badalti hain. . . Kahain aansu bahanay say tamannayian nikalti hain... Natija mil gaya tumko kisi say dil laganay ka.. Sitam dikha nasibu k karam daikha zamanay ka... Muhbat khun roti hai wafayian hath malti hain. . . .
2US2
Mar 18, 2012 03:18
ZAKHAMU kay bawajood mera HOSLAH to daikh... Tu HANS pari to main bhi TERAY SATH HANS PARA. . . Haan yaad mujhay tum kar laina awaz mujhay tum day laina... Is raha e muhbat mein tumko darpaish jo mushkil aa jaaye... Aay dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to hu unki mahfil... Ous waqt mujhay chunka diana jab rang pa mahfil aa jaaye... Aay rehbar e kamil chalnay ko tayyar to hu par yaad rehay... Us waqt mujhay bhatka daina jab samnay manzil aa jaaye...
2US2
Mar 18, 2012 03:38
Tum agar SATH dainay ka vaada karo, main yunhi mast NAGHMAY lutata rahu... Tum mujhay daikh kar muskrati reho, main tumhain daikh kar geet gaata rahu. . . Kitnay jalway fizaon mein bikhray magar, main nay abtak kisi ko pukara nahain... TUM ko daikha to nazarain yeh kehnay lagain, humko chehray say hatna gawara nahain... TUM agar meri nazaron kay agay reho, main har ik shaiye say nazarain churata rehu. . . Main nay khawabu mein barsu tarrasha jisay, TUM vohi sang e marmar ki tasveer ho... TUM nah samjho TUMHARA muqadar hu main, Main samhta hu tum meri taqdeer ho... TUM agar mujhko apna samjhnay lago, main baharon ki nehfil sajata rahoon. . . TUM AGAR SATH DAINAY KA VAADA KARO. . . . .
2US2
Mar 18, 2012 03:48
Teri mehfil mein qismat aazma kar hum bhi daikhain gay... Gahri bhar ko teray nazdik aakar hum bhi daikhain gay. . . Yeh maana muhbat zindagi barbad karti hai... Yeh kya kam hai k mar janay pa dunya yaad karti hai. . . kisi kay ishq mein subkuchh luta kar hum bhi daikhain gay. . . .
Sweetcapricorn
Mar 18, 2012 06:20
2US2: ZAKHAMU kay bawajood mera HOSLAH to daikh... Tu HANS pari to main bhi TERAY SATH HANS PARA. . . Haan yaad mujhay tum kar laina awaz mujhay tum day laina... Is raha e muhbat mein tumko darpaish jo mushkil aa jaaye... Aay dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to hu unki mahfil... Ous waqt mujhay chunka diana jab rang pa mahfil aa jaaye... Aay rehbar e kamil chalnay ko tayyar to hu par yaad rehay... Us waqt mujhay bhatka daina jab samnay manzil aa jaaye...
wao super dupersmiley k3p posting
2US2
Mar 18, 2012 09:25
Aadab arz @ Main so raha tha TERI yaad kay shabistaan mein... Jagga kay chhor gaye qafilay sehar kay mujhay... Zara si dair thehar jaa tu aay gham e dunya... Bulla raha hai koi baam se uttar kay mujhay... . - . - . - . - . - Jab tak bikay nah thay to koi puchhta nah tha.. Tum nay kharid kar humhain unmoal kar dia... Zamana bare shauq se sun raha tha. . . Humhi so gaye dastaan kehtay kehtay. . . Unki aankhun ko kabhi ghor say daikha hai faraz... Sunay walu ki tarah jaagnay walu jaisi. . . Dil to kya cheez thi hum ruh mein uttar jattay... Tum nay chaha hi nahain chahnay walon ki tarah. . . .
Sweetcapricorn
Mar 18, 2012 13:09
2US2: Aadab arz @ Main so raha tha TERI yaad kay shabistaan mein... Jagga kay chhor gaye qafilay sehar kay mujhay... Zara si dair thehar jaa tu aay gham e dunya... Bulla raha hai koi baam se uttar kay mujhay... . - . - . - . - . - Jab tak bikay nah thay to koi puchhta nah tha.. Tum nay kharid kar humhain unmoal kar dia... Zamana bare shauq se sun raha tha. . . Humhi so gaye dastaan kehtay kehtay. . . Unki aankhun ko kabhi ghor say daikha hai faraz... Sunay walu ki tarah jaagnay walu jaisi. . . Dil to kya cheez thi hum ruh mein uttar jattay... Tum nay chaha hi nahain chahnay walon ki tarah. . . .
itne kamal poetry kahan se laite app.
Sweetcapricorn
Mar 23, 2012 14:22
Kash aa jae woh mje jaan se guzarta daikhe uske khuwaish the kbi mjko bikhartey daikhey woh saleqay se hua gurezan warna log to saf muhabt se mukartay daikhey waqt hota hai har ek zakam ka marham phr bi kuch zakham thay aisay jo na bhartay daikhay
Sweetcapricorn
Mar 23, 2012 17:23
Kbi jo hum nhn hun ge kaho ksko btao gay woh apne uljhane sari wo bechaini me døobe pal woh ankhun pe chupay ansu ksay phr tm dikhao ge kbi jo hum nhn hun ge bht bechain ho gay tm bht tanha reh jao ge abbi bi tm nhn smjhe hamari un kahe batein magr jb yad aein gay bht tm ko rulaein ge bht chaho ge phr bi tm hamin na dhund pao ge kbi jo hum nhn hun ge
#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums
Home