Skip to content

Gazab ho gaya

dad_ash · Aug 23, 2011 05:58 10 65
dad_ash OP
Aug 23, 2011 05:58
Chaandani raat mein, Chaand ke saamane, RuKh se pardaa hataana "Gazab ho gaya" Chaandani chhup gai, Chaand sharma gaya, Aap kaa muskuraana "Gazab ho gaya" Dil ki dharakan meri, Tez hone lagi, Raat aankhon main kaante Chubhone lagi, Vasl ki raat main, Baat hi baat main, Yun tera rooth jaana, "Gazab ho gaya", Jhum kar kaali kaali Ghata jab uthi, Raat apani to karavat Badalate kati, kuchh to mausam ne Bechain rakkha hamien, kuchh tera yaad aana "Gazab ho gaya" -namaste- Apane hisse main tufaan ki taqadir thi, zindagii apani maujon ki zanjir thi, Doob jaane ka apane hamien Gam na tha, Tera saahil pe aana, Gazab ho gaya
10 replies
_GuL_
Aug 23, 2011 07:25
#1
wo keya shayare hai....clap2.
EpIcInCoGnItO
Aug 23, 2011 07:41
#2
smiley loved it.
SpArKo
Aug 23, 2011 08:51
#3
Bahut achhe.. smiley
dad_ash OP
Aug 23, 2011 14:21
#4
Shukria gul prince and sparko -namaste-
MaG
Aug 23, 2011 15:43
#5
superb smiley
Rajjar
Aug 23, 2011 17:15
#6
wah wah ek bar aur ho jaye smiley
dad_ash OP
Aug 23, 2011 17:59
#7
Taslimaat rajjar and mag-namaste-
Aman.Rana
Dec 10, 2013 14:23
#8
yes gazab ho gaya
SOHAIL-KHAN
Dec 10, 2013 15:27
#9
Wahoo nice dear
SOHAIL-KHAN
Dec 10, 2013 15:28
#10
na kisi ki ankh ka nur hun. na kisi k dil ka qarar hun. jo kisi k kam na a saky. main wo ek musht-e-gubar hun. na to main kisi ka habib hun. na to main kisi ka raqib hun jo bigar gaya wo nasib hun. jo ujar gaya wo dayar hun. mera rang-rup bigar gaya. mera yar mujh se bichar gaya. jo chaman fizan mein ujar gaya. main usi ki fasl-e-bahar hun. parhne fateha koi aye kyun. koi char phul charhaye kyun. koi ak shamma jalaye kyun. main wo bekasi ka mazar hun. main nahin hun nagma-e-janfishan. mujhe sun k koi karega kya. main bare barog ki hun sada. main bare dukh ki pukar hun.