As_Ash: kaash mein. . .
Tere haseen haath ka
kang'gan hota. . .
Tu bare pyaar se. . .
Bare chaao se. . .
Bare aramaan ke saath. . .
Apni naazuk si,
kalaai main
charhaati mujh ko. . .
Aur betaabi se
furqat ke Khizaan lamhon main. . .
Tu kisi soch main doobi. . .
Jo ghumaati mujh ko. . .
Mein tere haath ki
Khushbu se mahak saa jaata. . . Jab kabhi mood main aa kar mujhe chuma karati. . .
Tere honton ki
shiddat se. . .
Mein dahak sa jaata. . .
Raat ko jab bhi. . .
Tu nindon ke safar par jaati. . . Mar'marien haath ka
ik takiya banaya karati. . .
Mein tere kaan se lag kar. . . Kai baatien karata. . .
Teri zulfon ko. . .
Tere gaal ko. . .
Mein chuma karata. . . .
Jab bhi tu
band qaba kholane lagati jaanaan. . .
Apani aankhon ko. . .
Tere husn se khira karata. . . Mujh ko betaab saa rakhata. . . Teri chaahat ka nasha. . . .
Mein teri ruh ke
gulashan main
mahakata rahata. . . .
Mein tere jism ke
aangan main khanakata rahata. . .
kuchh nahin
to yahi benaam sa bandhan hota. . .
kaash mein tere. . .
Haseen haath ka
kangan hota. . . .