Acha Lagta Hai by Aarakshan Shreya Ghosal
Jhatak kar zulf
Jab tum tauliye se
Baarishein aazad karti ho
Acha lagta hai. . .
Hillakar hont jab bahi
Haule Haule
Guftagu ko saaz karti ho
Acha lagta hai
Ho..khusboo se behlao na
Seedhe point pe.. aao na
Aaankh mein aankhein
Daal ke kehdo
Khawaabon mein tehlao na
Zara short mein batlao na
Seedhe point pe.. aao na
Seedhe point pe.. aao na
La la la la. . . .
Alag ehsaas hota hai
Tumhare paas hone ka
Sanakti sarsarahat ki nadi
Mein reshami lamhe
Bhigone ka..
Ho ho ho
Zara sa modkar gardan
Jab apni hi adaa pe
Naaz karti ho
Acha lagta hai
Ho..Lafzon se behlao na
Jhuthi muthi beh'kao na
Haathon mein leke haath
Woh teen shabd tapkao na
Zara short mein.. batlao na
Seedhe point pe aao na
Haan..seedhe point pe aao na
Woh tere dhyaan ki khushboo
Main sar tak odh leta hoon
Bhatakti saans ko teri gali
Mein gun'guna'gane chod deta hoon
Ho ho ho
Tum apni khidkiyon ko
Kholkar jab bhi naye
Aaghaz karti ho
Achi lagta ho
Ho..Gali gali gali
Gali gali gali bhatkao na
Ghari ghari uljhao na
Senti ho main jaan gayi hoon
Action bhi dikhlao na
Zara short mein.. batlao na
Seedhe point pe.. aao na
Ho..seedhe point pe aao na
Aa..
Ho seedhe..ho seedhe ..
Ho..seedhe point pe aao na
La la la la
La la la la