Zehar ka jaam bhi dain aap to peena hoga.
Warna dastoor-e-wafa dehar main ruswa hoga.
Shab ghanimat hai sitaaroun pe nazer rakh ke chalo.
Subah ke saath ujjaloun ka andhairaa hoga.
Zindagi tujh se mulaqaat nahi hai lekin.
Koi kehta hai ke har haal main jeena hoga.
Ek maanoos si awaaz pe chalta hoon magar.
Dil yeh kehta hai thahar, phir koi dhooka hoga.
Waqt qatil hai to rehne do mere saath ise.
Yahi qatil mere zakhmoun ka masiha hoga.
jis main roshan na ho ahsaas-e-mohabbat ka chiraagh
dil na kahiye use woh aqal ka sehraa hoga
koi daawaa na kare apni wafadari ka
shama jalti hai to parwana bhi jalta hoga
hum se wabasta hai tareekh saleeboun ki RAIS
hum jahan thairain , zamane ko thairna hoga
No comments yet. Be the first to comment!