Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sawar loon..
Mera lafz lafz hai aeynah tujhe aeynay main utar-loon..
Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara thayher ja isi moorh per tere saat sham guzar loon..
Ager aasman ki numa-eeshoon main mujhe bhi ho izan-e-kayam to..
Main mootiyoon ki dukan se teri baleeyan tere haar loon..
Kahain aur baant de shohratain kahain aur baksh de izatain..
Mere paas hai mera aaeynah main kabhi na gard-o-ghubar loon..
Kai ajnabi teri rah main mere pass se yun guzar gaye..
Jinhain dekh ker yeh tarap hui tera naam lay ke pookar loon..
No comments yet. Be the first to comment!