* bas ek bar *

Avatar
Shush14
2010/03/12 05:18
Bas ek bar wapas lautne ka mann karta hai, Aaj har wo din jeene ka mann karta hai. Kuch buri bate jo ab achhi lagti hai, Kuch bate jo kal ki hi bate lagti hai. Ab ki bar class attend karne ka mann karta hai, Dopahar ki class me aakhein band karne ka mann karta hai..! Dosto ke room ki, Wo bate yaad aati hai Exam ke time pe, Wo hasi mazaak yaad aati hai. College ke pass dhabe ki yaad aati hai. Jaha mill k saath humne kitne samay guzare hai..! Tab ki bekar lagne wali photos Chere pe hansi laati hai... Apni galtiyo pe Tumse daat khaana yaad aata hai. Par tumhari galti dekhne ka abhi bhi mann karta hai. Ek aisi subah uthne ka mann karta hai. Bas ek bar wapas lautne ka mann krta hai.. Bas ek bar aur... Wapas lautne ka mann karta hai...! -sadgbye- :cry:
Comments (2)
Login or register to comment.

Avatar
Barbiecute
2010/05/09 15:41
wow shush i also mising my bck days nd ur dis blog vry touching
Avatar
RaNcOrOuS
2010/03/13 06:05
we cant back frnd we cant back.. smiley

All Blogs
Shush14's Profile
Home