*Shayari Dil Se* by Rebellion2013/03/14 18:44 Post Your Own Shayaris Here, Do Not Copy!
Rebellion2013/09/04 13:47 6 Jo mangte hai wo naseeb
nahi hota/Dunia me koi gareeb nahi hota
Jo mangte hai milta nahi,jise chahe wo
kareeb nahi hota
Rebellion2013/09/04 13:53 Laga di hai dar pe
tumhare Wo humari arzi hai
Baat karo na karo tumhari marzi hai
Hum to mast-maula hai Khud hi haste or ro
lete hai
Zindagi jitni hai ji lete hai warna,Maut to
darz hi hai
Rebellion2013/09/04 13:56 Tumhari berukhi ko bhi
pyaar humara milega
Jab jab mangoge tab tab sahara milega
Sata lo hume Zindagi jo baki hai
Kya pata ye mauka kab tumhe dubara
milega
Rebellion2013/09/04 14:04 Tu hamesha yaad rakhe, wo sila dunga.....Tujhe tujhse hi mila dunga
Rebellion2013/09/10 14:31 Dedicated-2-wap,
Dil me daya nahi
ankhon me nami nahi
chehre pe haya nahi
farziyon ki kami nahi
Rebellion2013/09/10 15:46 Jane koi kisse kyun khafa
rehta hai
Hum bekhabar hain kisme nuksaan-O-nafa rehta
hai
Kab kaun kaha se ake kaise kya keh jaye
Isi darr se zakhmi Ye dil bewafa rehta hai
Rebellion2013/09/12 12:40 Chalta hu vipreet me zamane ke,
Hote hai kai tareeke izzat kamane ke.
Bhedchaal ki parampara to hai sadiyon purani
Kuch juda karne ki hasrat hai mere dil me bahane se.
Rebellion2013/09/14 19:13 Tere aks ka hi deedar har bar karta rahu
Har janam me milne ke liye har bar marta rahu
Gar ho na sake mumkin kisi janm me mulakat to
Rooh ban k teri rooh ko pyaar main karta rahu
Rebellion2013/09/22 08:38 Kabhi hasti hai Kabhi roti hai
Kabhi jagti hai Kabhi soti hai
Hai kya paheli tu Ae Zindagi
Samjhne ke liye kitni chhoti hai
Aman.Rana2013/11/26 17:13 Mujhko kya khabar mere jaane ke baad
Ek aur afsana likha gaya mere afsane k
baad
Ashq to tere bhi nikle mere akhiri gaane
k baad
Royi thi tu bhi bahut mere jaane k baad
Quote: Rebellion: Bachkani lehron ko samandar nahi kehte
Hawaon K jhonkon ko bawandar nahi kehte
Jigar rakhte ho to karo kuch kaam anokha
Bheed me mast shehzadon ko Sikandar nahin kehte
shahzada jo aaj kal ke hi bhid me moka ka faida uthate hai dost