*Shayari Dil Se* by Rebellion2013/03/14 18:44 Post Your Own Shayaris Here, Do Not Copy!
Rebellion2013/03/14 19:08 Mujhko kya khabar mere jaane ke baad
Ek aur afsana likha gaya mere afsane k baad
Ashq to tere bhi nikle mere akhiri gaane k baad
Royi thi tu bhi bahut mere jaane k baad
Rebellion2013/03/16 00:06 Teri nafrat ne hi mujhe ye Taaqat di hai
Mujhe shohrat aur tujhe zalalat di hai
Gir to sakta tha main bhi teri auqat pe
Magar mere Maa-baap ne mujhe kafi sharafat di hai
Rebellion2013/03/16 00:10 Bin Teeli K lage yun jalna chhod do
Chor bazaron me yun tahalna chhod do
Bik jayega ek din tumhara sabkuch dunia me
Aur log kahenge tumse Ki hath malna chhod do
Rebellion2013/03/16 00:16 Dard wo hai jo insaan ko rula de
Bhoole na wo dard ko Baaki sab bhula de
Ye nagme nikalte hai mere usi dard se
Ai kaash ki kisi din mujhe ye sula de
Rebellion2013/03/16 00:23 Sharafat ka zamana nahi aj kal me
Duniya ye badal jati hai pal pal me
Jaan sako to jaano apne aap ko pehle
Kya rakha hai is zamane ki is hulchal me?
Rebellion2013/03/31 18:09 Bachkani lehron ko samandar nahi kehte
Hawaon K jhonkon ko bawandar nahi kehte
Jigar rakhte ho to karo kuch kaam anokha
Bheed me mast shehzadon ko Sikandar nahin kehte
Rebellion2013/04/21 20:47 Jis jis ko maine mauka diya,
Us us ne mujhe dhoka diya
Ek baar to mere saaye ne bhi,
Chhod ke mujhko chauka diya
Rebellion2013/04/21 21:19 Dedicated 2 all copy-pasters of 2wap:
Copy se kar ke hi paste na karo,
Apna time yun waste na karo,
Karo kuch dhang ka ya na Magar kaam kuch karo
Choose hue Aam ko hi taste na karo
Rebellion2013/04/22 12:56 Pyaar me dhoka karne walo ko hi sachha pyaar mila karta hai
Dar dar bhatak ke bhi ashiq tera kaha koi gila karta hai
Logo ne kiya tujhe hai istemal aur chhod diya besahara
Fir bhi na samjhi tu unki chal,
Tabhi to ajkal b tujhe wahi dhokha mila karta hai
SAFDAR2013/04/30 01:57 woh kab ka bhool chuka ho ga dosti ka qissa
"safdar"
bicharr kar kisi ko kis ka khayal rehta hai.
SAFDAR2013/04/30 01:59 kisi ghareeb qabeelay ki aabroo ki tarah hamara dard kisi dard mein shumar nahi
SAFDAR2013/04/30 02:02 us bewafa ke yad me jaam hathon mein utha lia
phir lgaya bread pe or fatafat kha lia
bewafai da dukh apni jaga subha di pukh apni jaga