Quote:
Sumita: Ik zara si ranjesh say
Shak ki zard tehni pay
phool bad'gumaani kay
Is tara say khiltay hain
Zindagi say payaray bhi
ajnabi say lagtay hain
Ghair ban kay miltay hain
Dost'daar lehjhon main silwatain si parti hain
Umer bhar ki chahat ka
kuch sila nahi milta
Dashtay be'yakeni main
asra nahi milta
Phool rang vadoon ki manzelain sukarti hain
Rah murnay lagti hay,
berukhi kay garay say,
bedili ki matti say
Faslon ki eintoon say
eint jurnay lagti hay
Khak urnay lagti hai
wahmoon kay saiy
say umer bhar ki mehnat ko
Pal main tor jatay hain
Bhear main zamanay ki sath chor jatay hain
Ik zara si ranjesh say
Hath choot jatay hain
Khuwab toot jatay hain.
Ranzishe'n lakh sahii..
Faasle hazar sahii..
Ras'me duniya ke dastur..
Nibhane ke lie..
Beetii yaado'n ki kasam hai tujh ko..
Ras'me duniya hi nibhane ke lie Aa..
Ha'n fir se mujhe chhord ke..
Jaane ke lie Aa..