Forums > International > Mere Lahoo Se Jale Teri Zindagi Ke Diye
GhAyAl

Agar Tu Aaj Hi Kar De Mohabbat Humsafar Meri… Kathin Hai Zindagi Kitni Safar Dushwar Kitna Hai
Kabhi Pao’n Nahi’n Chalte Kabhi Rasta Nahi’n Milta
…Faqat Aise Guzaroo’n To Ye Rozo Shab Nahi’n Kat-Te
Ye Kat-Te The Kabhi Pehle Magar Haa’n Ab Nahi’n Kat-Te
Mujhe Phir Bhi Mere Maalik Koi Shikwa Nahi’n Tujhse
Main Jaa’n Pe Khel Sakta Hoo’n, Mai’n Har Dukh Jhel Sakta Hoon
Agar Tu Aaj Hi Kar De Mohabbat Humsafar Meri…

(10:41) Wed, 9 May 12
GhAyAl

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai? Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai?
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye? Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai? … Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo? Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai?
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein? Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai?

(15:40) Mon, 14 May 12
GhAyAl

Saans lene se bhi teri yaad aati hai Har saans mein teri khushboo bas jati hai Kese kahoon ke saans se main zinda hoon Jab ke saans se pehle teri yaad aati hai..♥
(15:40) Mon, 14 May 12
GhAyAl

Us ki khamoshi se mujhe dar lagta hy, Dor na ho jaye aisa Q lagta hy, Dunia se Osay cheen lene ka hosla hy mujh me, Lekin wo sath Na de ga aisa Q lagta hy.
(15:39) Mon, 14 May 12
GhAyAl

Saleeka Ho Agar Bheegi Hoi Aankhon Ko Parrhney Ka”….. To Phir Behty Huye Aansu Bhi Akser Baat Krtey Hain”…
(15:37) Mon, 14 May 12
GhAyAl

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal
Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal…….
Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal……
Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal……

(15:34) Mon, 14 May 12
GhAyAl

Kat hi gayi judai bhi kab yun huwa kay mar gaye Tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye
Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain Janey woh tu kidhar gaya janey woh hum kidhar gaye … Raahon main hi miley thy hum, raahein naseeb ban gayiin Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye
Woh bhi gubar-e-khak tha hum bhi gubar-e-khak thy Woh bhi kahin bikhar gaya hum bhi kahin bikhar gaye
Koi kinar-e-ab-e-ju baitha huwa hai sarnigun Kashti kidhar chali gayi janey kidhar bhanwar gaye
Tere liye chaley thy hum tere liye thehar gaye Tu ne kaha tu ji uthe tu ne kaha tu mar gaye
Waqt hi kuch judai ka itna taveel ho gaya Dil mein tere firaq kay jitne tye zakhm bhar gaye
Barish-e-vasl wo huwi sara gubar dhul gaya Woh bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye
Itne qareeb ho gaye itne raqeeb ho gaye Wo bhi “Adeem” dar gaya uam bhi “safina” dar gaye

(15:33) Mon, 14 May 12
GhAyAl

kitna chaha hai tujhe KABHI GUROR TU KAR tu meri sanson m hai shamil KABHI GUROR TU KAR ruk jati hai aksar mery dil ki dharkan, TERE bina guzarta ni ik pal KABHI GUROOR TU KAR, dil tu ab rota he rhta ha teri furqat mein, …kisi kurb s guzarta hn KABHI GUROOR TU KAR, kis tarha tanha katega umar bhar ka safar , bara kathan hai rasta KABHI GUROOR TU KAR, BHT CHAHNEY WALEY HAN TERY IS DUNIYA M, KISI NE ITNA CHAH HY TUJHE KABHI GUROR TU KAR….
(15:31) Mon, 14 May 12
GhAyAl

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi Dil ko Khushi ke sath sath hota raha malal bhi
Baat vo adhi raat ki, raat vo poore chand ki Chand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi
Sab se nazar bacha ke vo mujh ko aise dekhtay Ek dafa to ruk gaye gardish-e-mah-o-sal bhi
Dil to chamak sake ga kya, phir bhi tarash ke dekh lo Shishagaran-e-shahar ke hath ka ye kamal bhi
Us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb hal tha Ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhal bhi
Meri talab tha ek shakhs, vo jo nahin mila to phir Hath dua se yun gira, bhool gaya sawal bhi

(15:30) Mon, 14 May 12
GhAyAl

tere paas aane ko ji chahata hai naye zaKhm khane ko ji chahata hai
idhar aaye shayad vo mauj-e-taranum Gazal gungunane ko ji chahata hai … zamana mera aazamaaya hua hai tujhe aazamaane ko ji chahata hai
vahi baat rah rah ke yaad aa rahi hai jise bhul jaane ko ji chahata hai
labon par mere khelata hai tabassum jab aansu bahaane ko ji chahata hai
ka_i martabaa dil pe bijali giri hai magar muskuraane ko ji chahata hai
takalluf na kar aaj barq-e-tajalli nasheman jalaane ko ji chahata hai
ruKh-e-zindagi se naqaben ulat kar haqiqat dikhaane ko ji chahata hai

Shaam ki palkon pe larazty rehna. Doob jay jo ye manzar to barasty rehna.
Uski adat wohi har baat adhoori karna, Aur phir baat ka mafhoom badalty rehna. … Aag se seekh liya hai ye qareena hum ne, Bujh bhi jana to bohat dair sulagtay rehna.
Jaanay kis umr mein jaaygi ye aadat uski, Roothna khud se to auron se ulajhty rehna

(19:00) Thu, 10 May 12
GhAyAl

Tum Bhoolna Chaho Gay Tu Yaad Aaonga Mein Aankhon Mein Ashk Chupaoogay Tu Yaad Aaaonga Mein
Yeh Khizaayein Bhi Baharoon Mein Badal Jayein Gi Phool Par Hont Jhukaoo gay Tu Yaad Aaonga Mein
Mein ke Chun Laita Tha Palkoon se Tumhare Aansoon Tum Kabhi Ashk Bahao Gay Tu Yaad Aaoonga Mein….
Yeh Khizaayein Bhi Baharoon Mein Badal Jayein Gi Phool Par Hont Jhukaoo gay Tu Yaad Aaonga Mein
Mein ke Chun Laita Tha Palkoon se Tumhare Aansoon Tum Kabhi Ashk Bahao Gay Tu Yaad Aaoonga Mein….
(19:00) Thu, 10 May 12
GhAyAl

Yaa rab gham-e-hijraaN meN itnaa to kiyaa hotaa jo haath jigar par hai voh dast-e-duaa hotaa
ek ishq kaa gham aafat aur is pe ye dil aafat …yaa gham na diyaa hotaa, yaa dil na diyaa hotaa
ghairoN se kahaa tumne, ghairoN se sunaa tumne kuchh hamse kahaa hotaa, kuchh hamse sunaa hotaa
ummiid to bandh jaatii, taskiin to ho jaatii vaadaa na vafaa karte, vaadaa to kiyaa hotaa
nakaam-e-tamanna dil, is soch meN rahtaa hai yuuN hotaa to kyaa hota, yuuN hotaa to kyaa hotaa

(18:56) Thu, 10 May 12
GhAyAl

zikr e shab e faraq se wahshat use bhi thi mere tarah kisi se muhabat use bhi thi
muj ko bhi shok tha nae chehron ki deed ka rasta badal k chalne ki adat use bhi thi … us raat dair tak wo raha mehv e guftago masrof me bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purane kahanian taza rafaqaton ki zarorat use bhi thi
muj se bichar k shehar me kal mil gaya wo shaks hala k shehar se bahir raqabat use bhi thi
wo muj se barh k zabt ka aade tha warna har aik sans qayamat use bhi thi

(18:55) Thu, 10 May 12
GhAyAl

Tears are more truthful than Smile.! Because, One can smile infront of Everyone, But One wil cry only infront of One who is special to them
(18:54) Thu, 10 May 12
GhAyAl

Bharosa, Duaa, Wafa, Khwaab, Ma'an, Mohabbat..
Kitney Naamon Main Simtey Ho .. Sirf Aik Tum...!!

(18:53) Thu, 10 May 12
© Copyright 2009. Some rights reserved. GumSlone.