Zakirism (Poetry and Shayari by Zakir Khan) by Shush14 2019/01/19 09:23
Har ek copy ke peeche, Kuch na Kuch Khaas likha hai,

Bas Is tarah tere mere Ishq ka itihaas likha hai,

Tu Duniya main chahe jahan bhi rahe,

Apni diary mei maine tujhe pass rakha hai.


Shush14 2019/01/19 09:23
Har ek Dastoor se Bewafai, Maine Shiddat se Nibhayi

Raaste bhi khud hi Daundhe, Manzil bhi khud Banayi

Shush14 2019/01/19 09:24
Wo Titli ki tarah aayi aur Zindagi ko Baag kar gayi,

Mere jitne Napaak the Iraade, Unhe bhi Paak kar gayi

Shush14 2019/01/19 09:24

Teri Bewafaai ke Angaaro mein lipti rahi hai Rooh meri,

Main iss tarah Aag na hota agar ho jaati tu meri…

Ekk saans se dehek jaata hai shola Dil ka,

Shaayad hawaaon mein faili hai Khushboo teri…

Shush14 2019/01/19 09:26
Bewajeh bewafaaon ko yaad kia hai,

Galat logon pe bohot waqt barbad kia hai .

Shush14 2019/01/19 09:29
Mana ki tumko bhi ishq ka tajurba kamm nahi,

Humne bhi baago me hai, kai titliya udaayi..

Shush14 2019/01/19 09:32
Kaamyabi, tere lie humne khud ko kuch yu taiyaar kar lia,

Maine har jazbaat bazaar me rakh kar ishtehaar kar lia.

Shush14 2019/01/19 09:34
Ishaq ko masoom rehne do, notebook ke aakhri pannae par,

Aap usse kitabon me daal ke mushkil na kijiye.

Shush14 2019/01/19 09:41
Hum dono me bus itna sa fark hai,

Usske sab "lekin" mere naam se shuru hote hai,

Aur mere saare "kaash" uss par aa kar rukte hai..

Shush14 2019/01/19 09:43
Zindagi se kuch zada nahi bas itni si farmaaish hai,

Ab tasweer se nahi tafseel se milne ki khwaish hai.

Shush14 2019/01/19 09:44
Bus Ka Intezaar Karte Hue,
Metro Mein Khade Khade
Rikshaw Me Baithe Hue
Gehre Shunya Me Kya Dekhte Rehte Ho?
Gumm Sa Chehra Liye Kya Sochte Ho?
Kya Khoya Aur Kya Paya Ka Hisaab Nahi Laga Paaye Na Iss Baar Bhi?
Ghar Nahi Jaa Paye Na Iss Baar Bhi?

Shush14 2019/01/19 09:44
Apne Aap Ke Bhi Picche Khada Hoon Mai,
Zindagi, Kitne Dheere Chala Hoon Mai…
Aur Mujhe Jagaane Jo Aur Bhi Haseen Hokar Aate The,
Unn Khwaabon Ko Sach Samajhkar Soya Raha Hoon Mai….
Zindagi, Kitne Dheere Chala Hoon Mai…

Shush14 2019/01/19 10:02
Ash'aaron me guzri talkhiyan bani baat hi thi

Jo humpe hai guzri, humein hain yaad sab..

Shush14 2019/01/19 10:02
Ki mere do chaar khwaab h jinhe me asmaan se door chahta hu..

Zingadi chahe gumnaam rahe par maut me mashoor chahta hu.

Shush14 2019/01/19 10:03
MERE KUCH SAWAL HAI

Mere kuch sawaal hai jo sirf Qayamat ke roj puchhunga tumse,
Kyuki uske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…

Main janana chahta hu kya raqib ke saath bhi chalte hue,
Shaam ko yunhi bekhayali main uske saath bhi kya haat takkra jaat hai kya tumhara?

Kya apni chhoti ungli se uska bhi haat thaam liya karti ho tum,
Kya waise hai jaise mera thhama karti thi…?

Kya bataadi saari bhachpan ki kahaniya tumne usko jaise mujhko raat raat bhar baith kar sunaai thi tumne…?

Kya tumne bataya usko ke 30 ke aage ki hindi ki ginti aati nahi tumko…?

Wo jo saari tasvirein tumhare papa ke saath , tumhari behen ke saath tumhari thi, jinme tum mujhe badi pyaari lagg rahi ho,
Kya use bhi dikhaadi tumne…?

Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…

Ke main puchhna chahta hu kya jab wo bhi ghar chhodne aata hai tumko,
To kya seedhiyo pe aankhein meenjh kar meri hi tarah uske saamne bhi maatha aage kar deti ho tum,
Waise hi jaisa mere saamne kiya karti thi…?

Kya sard raaton mein band kamro mein wo bhi meri hi tarah,
Tumhari nangi peeth par apni ungliyo se harf dar harf khudka ka naam gondta hai,
Aur tum bhi Akshar be akshar pehchaanane ki koshish karti ho kya jaise mere saath kiya karti thi…?

Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…

Shush14 2019/01/19 10:08

BOHOT MAASUM LADKI HAI, ISHQ KI BAAT NAHI SAMAJHTI,

NA JAANE KIS DIN MEIN KHOI REHTI HAI, MERI RAAT NAHI SAMJHTI…

HAAN, HMM, SAHI BAAT HAI…! TO KEHTI HAI,

ALFAAZ SAMAJH LETI HAI MAGAR JAZBAAT NAHI SAMJHTI…

Shush14 2019/01/19 10:34
ME SHUNYA PE SAWAAR HU

Main Shunya pe sawaar hoon
Be adab sa mai khumar hoon
Mushkilo se mai kya darun
Mai khud keher hazaar hoon .....

Ki unch neech se pare
Majal aankh me bhare 
Mai lad pada hu raat se 
Mashaal haath me liye ...
Na surya mere sath hai..
to kya nayi ye baat hai
Wo sham ko tha dhal gya..
Wo raat se tha darr gaya

Mai jugnuo ka yaar hu 
Mai shunya pe sawar hu!!

Ki bhavnaye hai mar chuki
Samvednaye ab khatm hai
Ki ab dard se kya darun
Zindagi hi Zakhm hai.....
Mai beech rah ki maat hu 
Be chaand syaah raat hu ... 
Mai kaali ka shringaar hu
Mai shunya pe sawar hu...

Hu Raam ka sa tej mai
Lankapati sa gyaan hu
Kiski karu me aaradhana..
Sabse jo mai mahaan hu..
Bramhand ka me saar hu..
Mai jal pravaah nihaar hu..
Mai shunya par sawaar hu..

Mai shunya par sawaar hu..

Shush14 2019/01/19 10:35
Mai Doob Raha Hoon..

Mai doob raha hoon, apne hi bhavar mein.
Roz doob raha hoon.
Mere antarmann me Hazaron sunamiya aati hai. 
Meri Atma ko apne gehre andheron me kheechti hai.
Badi darawni jagah hai woh, koi kabhi mat aana wahan.

Jahan mai.... roz doobta hoon. 
Doobta hoon, ubharta hoon, Ladta hoon khud hi se
aur
...Phir Uthkar aa jaata hoon apna tamasha le kar.

Tumse hath nahi manga kyunki 
bhavar bahut tez hai, 
bahut tez hai yeh mere jee ka bhavar. 
Mai toh doob hi raha hoon, 
tumhe sath le kar nahi doobna chahta. 
Naahi chahta ki iss sunami ka ek chhitta bhi 
kisi mere apne par pade.

Jaise mai kho raha hoon khud ko, 
waise mai tumhe nahi khona chahta.
Mere antardvand ki sabse aachi baat yeh hai
ki iss me Har roz mai hi jeet ta hoon.
Aur sabse bhayavar baat yeh ki
Mai hi hoon jo har roz apne hi aap se haar raha hoon. 
Roz haar raha hoon, lagatar haar raha hoon.

Na jeet ka koi tamga milta hai 
na haar ke ghav dikhte hai. 
bas sab kuch khali rehta hai, 
Haan yeh mai keh raha hoon..
Theek suna tumne 
Ki mai Doob raha hoon, Roz doob raha hoon.
Apne hi bhavar me.
Par
...Mai lada hoon, ladunga. 
Aaj dooba hoon, par ubhrunga aur kal...
Phir Uthkar aa jauga apna tamasha le kar.

Shush14 2019/01/19 10:37
Ishq ka hasil aur jama

6 Hair bands.
4 alag alag tarah ki baalon wali Clips. 
Woh... uss din jo sandal tuti thi tumhari, Uska Ek strap.
Aur haan Woh kitaab jiske panne mod kar diye they tumne.

Sambhal rakha hai maine sab, 
Jab aaogi toh le jaana.

Waise chote bade mila kar,
kuch 23 kapde bhi pade hai tumahre. 
Unme se, kuch me tum bala ki haseen lagi. 
Jaise woh red wala top aur black wali dress.
Woh baby pink crop top aur woh green jump suit.

Sab yahin pada hai. 
Toh mai bas yeh keh raha tha ki 
kharid lena na waisa sa hi kuch kahi se..
kyunki,
Sach kahu toh Lautane ka Dil nahi karta mera.

Nahi Nahi Mazak kar raha hoon,
Sambhal rakha hai maine sab, 
Jab aaogi toh le jaana.

Waise kuch hisab bhi dena tha tumko,

Jo tumhari meri tasveer wala,
Coffee mug diya tha tumne. 
Uska handle tut gaya hai mujhse.
Blue wali shirt bhi pichle 2 hafton, se mil nahi rahi hai kahin par.
Aur.. 
Perfume khatam ho gaya hai. 
Ghadi khoyi nahi hai par band ho gayi thi. 
Isliye utar rakhi hai, bas bata raha hoon tumhe. 

Woh Green wali check shirt dhobi ne jala di. 
Woodland wale joote Sam le gaya.
tumhare diye Earphones aur Chashma, 
ek din kahi par jaldbaazi me chhut gaye. 
bahut dhunda, nahi mile.

Par

Woh sukha hua Gulaab ke phoolo ka guladasta.
Tumhari lipstick ke nishaan wala paper cup. 
Woh tissue paper jis par tumne number likh kar diya tha, 
tumhari car parking ki parchiya.
Woh tute hue Clutcher ke Dono hisse. 
tumahre more pankh wale jhumke.

Aur mai....

Yeh sab kuch jo bhool gayi thi tum, 
ya shayad jaankar chhoda tha tumne. 

Apni jaan se bhi jayada,
Sambhal rakha hai maine sab, 
Jab aaogi toh le jaana.

Shush14 2019/01/19 10:44
"Meri Daastaan Sunana"


Mera sab bura bhi kehna,

Par acha bhi sab batana.

Mai jau duniya se toh sabko

Meri dastaan sunana

Yeh bhi Batana Ki kaise

Samandar jeetne se pehle,

Mai na jaane kitni choti-choti nadiyon se

Hazaaron bar haara tha.

Woh ghar woh zameen dikhana,

Koi magrur bhi kahega toh tum

Usko shuruwat meri batana.

Batana safar ki dushwariya meri,

Taki koi jo meri jaisi zameen se aaye

Uske liye nadi ki haar choti hi rahe.

Samandar jeetne ka khawab

Uske dil aur dimag se na jaaye.

Par unse meri galatiya bhi mat chupana.

Koi puche toh bata dena ki

Mai kiss darje ka nakara tha.

Keh dena ki jhoota tha mai,

Batana ki kaise

Zarurat par kaam na aa saka.

Wade kiye par nibha na saka.

Intqaam saare poore kiye

Par ishq adhura rehne diya.

Bata dena sabko ki,

Mai matlabi bada tha.

Har bade mukaam pe

Tanha hi mai khada tha.

Mera Sab bura bhi kehna,

Par aacha bhi sab batana.

Mai jau duniya se toh sabko

Meri dastaan sunana.”

Shush14 2019/01/19 10:45
Ab Wo Aag Na Rahi


Ab wo aag nahi rahi, na Sholo jaisa dehekta hoon,

Rang bhi sab ke jaisa hai, sabsa hi to Mehekta hoon…

Ek arse se hoon thhame Kashti ko Bhavar mein,

Toofaan se bhi jyada Saahil se Siharta hoon…”


Replies: 26

#53 Creative Work
Poetry, stories, lyrics, quotes, life lessons and more. Prepare to be moved and inspired.
Forums
2wapworld.com