Jab Me Chota Tha by
Shush14 2015/07/16 14:58
Jab me chota tha
shayad duniya
Bahot badi hua karti thi
mujhey yaad hai
mere ghar se school tak
Ka vo rasta
kya kya
nahi tha waha
chaat ke thele,
jalebi ki dukaan,
barf k gole,
sab kuch..
Ab waha
Mobile shop
Video game parlour hai
Phir bhi
Sab soona hai..
Shayad
Ab duniya
Simat rahi hai
.
.
.
jab me chota tha
shayad shame bahot lambi
hua karti thi..
main haath me
patang ki dor pakade
ghanto uda karta tha
Wo lambi
Cycle race
wo bachpan ke khel
wo
har shaam
thak ke choor ho jaana
Ab
shaam nahi hoti
Din dhalta hai
aur
Seedhe raat ho jaati hai
Shayad
waqt simat raha hai..
Jab
me chota tha,
shayad dosti
bahot gehri
hua karti thi
Din bhar
wo hujoom banakar
khelna
wo
dosto ke
ghar ka khana
Wo
ladkiyo ki
batein
Wo
Saath rona..
Ab bhi
mere kai dost hai,
par dosti
jaane kaha hai..
jab bhi
"traffic signal"
Par milte hai
"Hi" ho jaati hai,
Aur
apne apne
raaste chal dete hai
Holi
diwali,
janmdin
naye saal par
Bus sms aa jaata hai
Shayad
ab rishte
Badal rahe hai..
Jab
me chota tha,
tab khel bhi
ajeeb hua karte the,
chuppan chupaai,
langdi taang
kho kho
Tippi tippi taap
ab
internet, office,
Se fursat nahi milti..
Shayad
zindagi
badal rahi hai.
.
.
Zindagi ka
sabse bada sach
yahi hai..
jo aksar kabristan k bahar
board par
likha hota hai..
"Manzil toh
yahi thi,
bus
zindagi guzar gyi meri
yaha aate aate.."
.
Zindagi ka lamha
bahot chota sa hai..
Kal ki
koi buniyad nahi hai
aur aane wala kall
sirf sapne me hi hai..
Ab
bach gye
is pall me..
Tamannao se bhare
is zindagi me
hum sirf bhaag rahe hai.
Kuch raftaar
dhimi karo,
mere dost
Aur
is zindagi ko jiyo..
khoob jiyo mere dost..
Barbiecute 2015/07/16 18:00
beautiful poem jst like u
Shush14 2015/07/16 19:49
.thanku. sweetheart
Shush14 2015/07/16 19:49
thanks sonic sweetu
Shush14 2015/07/17 14:42
ro lo bhai halka mehsus hoga :p
wiLLyRockz 2015/07/28 12:26
Wtta good written -goodpost-
saahir 2015/07/30 11:42
Chhotey miya.. Poem bahot lambi hai hai. Mai thak gaya padhtey.. padhtey, but achchi hai. Karma for you with .rose.
#36
International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.