Quote:
-LILY-: Chidiyon Ki Jhund Si Chahchahti Hai Betiya
Pagdiyon Par Neele Peele Anchal Udati Hai Betiya
Aangan Ki Tulsi Ban Kar Ghar Ko Mahkati Hai Betiya
Hansi Thitholi Kar Sabka Maan Bahlati Hai Betiya
Payal Ki Runjhun Si Gungunati Hai Betiya
Pani Si Nirmal Swacchh Nazar Aati Hai Betiya
Kyo Dekhte Hai Buri Nigaho Se Zamane Wale
Kisi Bhi Makan Ko Ghar Banati Hai Betiya
(lily)
bdtiya ke bare me kuch v bolna suraj ke samne dipak jalane jaisa hoga.