For my friends... by
SAFDAR 2014/03/01 17:46
Khushnaseeb hain hum ki mile aap mujhe
Tanha zindagi ki safar mein mila saathi anmol mujhe
Gum ke badalon ne kabhi gher rakha tha mujhe
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe
Ae dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi
Aap ne saath humara deke dard ko bhulana sikhadiya mujhe
Hum to rote the akele andhere mein
Dost aap ne aansuon ko peena sikha diya mujhe
Tanhai ne to maar hi dala tha humein
Dosti ki taqat se jeena sikhaya aap ne mujhe
SAFDAR 2014/03/01 17:51
Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai..
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Payar ki inteha bhi dosti hai
S-ALI.RAZA 2014/03/02 06:54
Bhot acha topic hai well done
-LILY- 2014/03/02 12:46
wow vry nice...
#36
International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.