* mera bharat * by
Swt.Raaz 2014/01/26 04:52
jahaan daal daal par
sone ki chidiyaan karti
hain basera
wo Bhaarat desh hai mera
wo Bhaarat desh hai mera
jahaan daal daal par
sone ki chidiyaan karti
hain baseraa
wo Bhaarat desh hai mera
wo Bhaarat desh hai mera
jahaan saty, ahinsaa aur
dharm ka
pag-pag lagtaa deraa
wo Bhaarat desh hai mera
wo Bhaarat desh hai mera
Jai Bharti Jai Bharti
Jai Bharti Jai Bharti
Aaaa
ye dharti wo jahaan Rishhi
muni
japte Prabhu naam ki
maalaa
Hari Om Hari Om Hari Om
Hari Om
jahaan har baalak ek
Mohan hai
aur Raadhaa ek ek baalaa
aur Raadhaa ek ek baalaa
jahaan sooraj sabse pahle
aa kar
daale apnaa pheraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
Jahan Ganga Jamuna
Krishna aur Kaveri bahti
jaaye
Jahan Uttar Dakshin
Poorab Paschim ko amrit
pilwaaye
ye amrit pilwaye
kahin ye phal aur phool
ugaaye
kesar kahin bikhera
wo Bhaarat desh hai
meraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
albelon ki is dharti ke
tyohaar bhi hain albele
kahin deewaali ki jagmag
hai
holi ke kahin mele
kahin deewaali ki jagmag
hai
holi ke kahin mele
holi ke kahin mele
jahaan raag rang aur hansi
khushi kaa
chaaro aur hai gheraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
jahaan daal daal par
sone ki chidiyaan karati
hai basera
wo Bhaarat desh hai mera
wo Bhaarat desh hai mera
jahaan aasmaan se baate
karte
mandir aur shivaale
kisi nagar me kisi dwaar
par
koi na taalaa daale
koi na taalaa daale
aur prem ki bansi jahaan
bajaataa
aaye shaam saweraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
jahaan saty, ahinsaa aur
dharm kaa
pag pag lagtaa deraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
wo Bhaarat desh hai
meraa
Jai Bharti Jai Bharti
Jai Bharti Jai Bharti
anjana. 2014/01/26 06:29
i love my india
-LILY- 2014/01/26 11:06
nice -ind-
kohinoor 2014/01/26 23:02
ye desh h veer jawano ka albelo ka mastna is desh ka yaro kya kahna ye desh h duniya ka gahna
#53
Creative Work
Poetry, stories, lyrics, quotes, life lessons and more. Prepare to be moved and inspired.