* jo sada dil mai hai unko dhonda nai karte * by
Swt.Raaz 2014/01/07 16:45
Jo rehtay hain sada dil
mein unhein dhonda
nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay
main unhein socha nahin
kertay,
Baharon k ghanay sayai
mein talkhi bhi, chubhan
bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum
say magar shikwa nahin
kertay,
Nahin aatay kabhi bhi loot
ker guzray howay
mousam,
Barastay badalon ki aas
mein tarsa nahin kertay,
Tajasus aur barhta hay
machal jatay hain sun ker
hum,
Achanak pyar ki baaton ka
rukh mora nahin kertay,
Teri nazar inayat say
howay jatay hain jo
ghayal,
Unhein qatil nigahon say
kabhi daikha nahin kertay
#36
International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.