* na dosti raha na pyar mila * by
Swt.Raaz 2014/01/05 06:21
friends, vo 1 jan12 ka din
tha. main roz ki tarah
apne dost ramesh ke ghar
ja raha tha jahan se ham
dono sath sath cricket
khelne jaya karte the.
ramesh ke pas ek bike thi
aur ham donon use aise
use karte the ki jaise ham
dono ki ho. class 1 se lekar
11th tak, ham sath sath
padhe aur sath khele the.
ham ek dusre ke ghar
mein aise jate the aur
rahte the jaise ki apna hi
ghar ho !
us din jab main uske ghar
pahuncha to main ghar ke
andar ghus gaya seedha
kyunki ghanti bajane ka to
koi matlab hi nahi kabhi.
jaisa maine bataya ki uska
ghar mera ghar, mera
ghar uska ghar aisa tha
mamla. to jaise hi main
andar ghusa aur ramesh
ko awaj di ki abe chalna
nahi kya, kahan mar gaya?
tabhi ek ladki ki awaaj aai
bhaiya to nahi hain abhi,
jara bazar gaye hain. aap
baitho na. maine dekha ki
ek ghazab ki khubsurat
ladki ramesh ke kamre se
bahar aai. vahi kah rahi thi
ramsh bazar gaya hai.
maine itni sundar ladki
dekhi nahi thi so main
dekhta rah gaya. fir vo
hans kar boli aise kya
dekh rahe hain? main
rachna hun, ramesh ke
mameri bahan. fir andar se
ek aur ladki aai. rachna ne
kaha ki ye seema hai, meri
saheli, mere sath aai hai
kanpur se. hama donon ka
sunday ko exam hai yahan
pe B farma ka. fir mujhe
yad aaya ki maine rachna
ko kai sal pahle dekha
tha . tab to vo frock pahan
kar ghumti rahti thi. thi
hamari hi umra ki.
maine kaha theek hai.
wait karta hun. fir hamari
bat hone lagi. fir itne mein
ranmesh ki mom hamare
liye khane ke liye laddu
aur namkeen lai. ham kha
hi rahe the ki ramesh aa
gaya. fir vo bhi sath baith
kar khane laga. khate
khate meri najar rachna se
hat hi nahi rahi thi. tabhi
mujhe laga uski dost
seema mujhe hi dekhe ja
rahi thi. meri har bat pe
muskurati, mere jokes pe
mera sath deti. yahan tak
ki ek do bar to usne hansi
majak mein rachna ke
badle mera sath diya.
fir ramesh bola ki chalo,
khelne to maine kaha
rahne de yar der ho gayi
ab, jake sirf firlding milegi
karne ko, rahne de, yahin
pe gapp marte hain.
kuchh der gap marke main
vaapas aa gaya.
agale din main khelne
gaya to vo log aunty ke
sath ghumne gaye the.
agle din sunday tha. main
subah hi ramesh ke ghar
chala gaya to pata chal ki
rachna aur seema exam
dene gaye the. main
disappoint ho gaya . fir bhi
main sham tak vahin
baitha raha. sham ko vo
log aaye aur bola ki exam
achcha ho gaya aur ab
ham kuchh din dilli mein
hi ghum fir ke ghar
jayenge. ramesh ne kaha
ki chalo ham tmhe ghuma
denge.
agle din sham ko jab main
vahan gaya to pata chal ki
ramesh seedhi se gir gaya
aur chal nahi pa raha tha.
haddi to nahi tuti par hair
line fracture ho gaya tha.
doc ne use 40 din ka rest
bola . maine socha, shxt !!
ghumne ka program
cancel !
Swt.Raaz 2014/01/05 06:29
lekin tabhi ramesh ne
kaha ki yartu hi ghuma la
na, varna bore ho jayengi
donon ghar mein.
bas main to khush ho
gaya. fatafat bike nikali
aur kick mari. dono mere
peeche baith gai. rachna
pahle aur seema bad
mein. main bhi yahi
chahta tha. khair maine
unhein 2-3 jagah ghumai
aur kuchh chat vagaira
khilai.
agale din fir vahi program
bana. lkin is bar jaise hi
maine bike start ki, seema
jhat se mere peeche baith
gai. rachna ek bar to jaise
kuchh bolne ko hui fir
sabke saamne kuchh na
bol kar chupchaap baith
gai. lekin aaj donon mein
koi bat nahi ho rahi thi.
maine ghumate time unse
hansi majak ki koshish ki
par donon jyadatar time
chup hi rahin. bas meri bat
ka hans kar jawaab de
deti. seema tio fir bhi
kuchh bat kar rahi thi par
rachna ekdam chup thi.
mera interest to rachna
mein tha isliye main bhi
kuchh udaas sa ho gaya.
khair. jab ham lal kile se
lautne lage to rachna boli
ki main jara toilet se aati
hun. sema boli ki ruk main
bhi aati hun. 10 min bad
donon vapas aaye to
donon ke chehre lal
tamtama rahe the jaise
bahut jor ka jhagda hua
ho. main kuchh nahi bola
aur donon ko ramesh ke
ghar chhod aaya.
rat ko achanak ek
message aaya mere cell pe
kal aap mat aaiyega
rachna. meri samajh mein
kuchh nahi aaya. lekin
main agle din fir ramesh
ke ghar pahunch gaya. lkin
main ye samajh gaya tha
ki donon se dosti nahi ho
payegi. so jake maine
seema ko ekdam ignore
kar diya. fir jab ham
ghumne jane nikle to
seema ne jaise hi baithna
chaha, rachna boli ki bad
mein, pahle main jara
bazar tak ho ke aati hun
sachin ke sath. fir
chalenge, mujhe kuchh
lena hai. jaise hi ham
kuchh door tak gaye
rachna ne kaha bike roko.
main rok di to vo utar kar
boli seema ko kitne din
se jante ho jo mere hote
hue usse friendship badha
rahe ho !
maine kaha ki kahan
badha raha hun? main to
bas sath nibha raha hun
kyunki vo tumhari dost
hai. fir usne kaha ki main
kaun hun to maine use
kaha ki tum kya ho batana
mushkil hai par ab rat
bhar tumhare bare mein
hi sochta rahta hun. yah
sun k uske tense face pe
ek smile aa gai aur vo boli
ke khul ke kaho na to
maine kaha naraj mat ho
jana i love you to vo
hans padi aur boli ki Delhi
ke ladke bhi itni der lagate
honge, ye nahin socha tha.
bas fir ham sari sham
ghumte rahe.
Swt.Raaz 2014/01/05 06:32
der se ghar pahunche to
ramesh mujh pe bahut
gussa hua. uski samjh
mein kuchh bat aa rahi thi.
usne mujhe akele mein
bat ki aur bola dekh, salon
sal ki dosti toot jayegi. to
mere munh se nikal gaya,
pahle rachna se to puchh
le aur yahi mere se galti
ho gai. bechari ka nam
nahi lena tha jabki abhi
hamara pyaar kuchh
ghanto ka bhi nahi hua
tha.
bas , ramesh ne kaha ki
dosti khatam, apne ghar
ja. agle din main fir gaya
aur ramesh ke pas gaya to
pata chala ki rachna aur
seema ko agle din subah
hi unke ghar bhej diya tha.
aur ramesh ne kaha ki itne
din ki dosti ki vajah se
kuchh nahi kah raha hun
aaj, lekin dubara mere
ghara aaya to police mein
complaint kar dunga.
bas doston, aisa kuchh
galat bhi nahi kiya maine,
lekin dosti bhi gai aur
muhabbat bhi gai.
goodluckforu 2014/01/05 08:51
Dosti aur pyar me ek ka chunav kar lete pahle aur fir kadam barhate to ek ka sath jaroor mila hota. Aage se aisi galti mat karna. Is ghatna se sabak lene ki jaroorat hai.
sweety4u 2014/01/05 13:05
story achi thi pr ye na pyer tha na dosti bs kuch tym ka hisab tha dosti to thi hy pr pyer to hoa hi nahi tha tum ko
RisKey_Dyn@Mite 2014/01/13 12:44
Is kahte hai dost ki pith mai khanjar khusana...dosti nibha nahi sakte to kisi ko dost mat banana (cracker)
-LILY- 2014/01/14 15:03
so sad .sad.
susupin 2014/01/17 16:30
Mai sher da baccha
#36
International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.