aansoo... by
tinker.bell 2013/12/15 18:16
ek aansoo palko k darwaze pe aaya...
bahar nikalane ko tha ki Maine use roka..
aur poocha: kyu tu bahar aana chahta hai?
tune bahar ki duniya dekhi nhi hai...
duniya ka dhokha chhalava nafrat tujhse jheli na jayegi
jab tak aankho me hai zinda hai
bahar aate hi Teri hasti tak mit jayegi...
muskurate huye aansoo ne jawab diya....
kyu tumne andar ka andhera dekha hai???
main jaha rahta hai waha sannata hai...
aur us sannate k beech toote dil ki cheekhe rah rah k aati hai
jo mere poore astitva k hila k chali jati hai...
aise ghut ghut k jeene se to mar jana Acha hai...
tumhari palko me Rahne se to bah Jana Acha hai...
Main kuch kah na paayi aur dekhti rahi...
aansoo haste haste bah gya aur uske hasti mit gyi...
use bacha to nahi paayi..
par use maarne ka zimmedar khud ko paaya..
Tinker.bell
saahir 2013/12/15 19:36
Nicely composed, true and painful.
_nICK_ 2013/12/17 19:05
bahot acchee
saahir 2013/12/28 16:48
Ansoo ankho'n se chhalak jaye toh paani hai..
Palkon pe thahar jaye toh moti hai..
Lekin zamee'n pe gir jaye toh faani hai..
#36
International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.