Magar Ye Baat Zamee'n Se Keh Nahin Sakti by Sumita 2012/04/21 13:50
main aasma’n pe bahut der rah
nahin sakti
magar ye baat zamee’n se to keh
nahin sakti
kisi ke chehre ko kab tak nigah
mein rakho'n
safar mein ek hi manzar to rah
nahin sakta
...
sahara lene hi padta hai mujhko
dariya ka
main ek qatra hoon tanha to bah
nahin sakti
ye aazmaane ki fursat tujhe kabhi
mil jaye
main aankho'n aankho'n mein kya
baat kah nahin sakti
Laga ke dekh le jo bhi hisaab aata
ho..
Mujhe ghata ke wo ginti mein reh
nahi sakta..
ye chand lamho ki be-
ikhtaariyaa'n hain ' Sumita'
gunah se rishta bahut der rah
nahin saktA
GhAyAl 2012/04/21 19:22
Ye Mizääj-e-Yäär Kö Kyä Huä Unhen MujhSe Pyär hai Aäj Kal,

Meri GuftGu, Meri Justju, Merä Intezär hai Aäj Kal,

Tere Khat NikääL K Dekhnä Kbhi Chöömnä K,

Yahi Masghlää Yahi SilsiLä Yahi Kääröbär hai Aäj Kal,

Nä Akelä Ghar Se Nikal Miyään, Zarä Dekh Bhääl K Chal Miyään,

Barri Abtri, Barri Rahzani, Barri Lööt Määr hai Aäj Kal,

Arey Masröör Kal tö Tu Rind Thä, Meray Yäär TujhKö Kyä Huä,

Barrä Mazhabi, Barrä Pärsä, Barä Deendär hai Aj Kal

GhAyAl 2012/04/21 19:24
Zara Si Fursat Nikaal Kar Humey Qatal Hi Kar Dalo....

Yeh Tere Intizar Mein...

Tarrap Tarrap Key Marna Hum Se Bardasht Nahi Hota...

GhAyAl 2012/04/21 19:24
Yahan chahton ka sila nahi,

yahan dosti ka maza nahi,

yahan janay kesi hawa chali,

Rahi dostoon main wafa nahi,

yahan jal gaya mera aashiana,

Abhi badlon ko pata nahi,

Teray dar pe dastak de sakon,

ye haq to tum ne dia nahi,

Main raahi hon raah-e-umeed ka,

Mujhay manzilon ka pata nahi,

Be bas hon jahan main isqader,

jaisay mera koi "KHUDA" nahi,

MERI SAADGI MERA JURM HAi,

KOI AUR MERI KHATA NAHI.

S-ALI.RAZA 2013/08/27 12:49
Very very nice,
saahir 2016/08/29 16:03
We badly miss you friend.rose.
_SonIcGirL_ 2016/08/30 21:07
Very nice
#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums
2wapworld.com