Gazab ho gaya by
dad_ash 2011/08/23 05:58
Chaandani raat mein,
Chaand ke saamane,
RuKh se pardaa hataana
"Gazab ho gaya"
Chaandani chhup gai,
Chaand sharma gaya,
Aap kaa muskuraana
"Gazab ho gaya"
Dil ki dharakan meri,
Tez hone lagi,
Raat aankhon main kaante
Chubhone lagi,
Vasl ki raat main,
Baat hi baat main,
Yun tera rooth jaana,
"Gazab ho gaya",
Jhum kar kaali kaali
Ghata jab uthi,
Raat apani to karavat
Badalate kati,
kuchh to mausam ne
Bechain rakkha hamien,
kuchh tera yaad aana
"Gazab ho gaya"
-namaste-
Apane hisse main tufaan
ki taqadir thi,
zindagii apani maujon
ki zanjir thi,
Doob jaane ka apane
hamien Gam na tha,
Tera saahil pe aana,
Gazab ho gaya
_GuL_ 2011/08/23 07:25
wo keya shayare hai....clap2.
SpArKo 2011/08/23 08:51
Bahut achhe..
dad_ash 2011/08/23 14:21
Shukria gul prince and sparko -namaste-
MaG 2011/08/23 15:43
superb
Rajjar 2011/08/23 17:15
wah wah ek bar aur ho jaye
dad_ash 2011/08/23 17:59
Taslimaat rajjar and mag-namaste-
SOHAIL-KHAN 2013/12/10 15:28
na kisi ki ankh ka nur hun.
na kisi k dil ka qarar hun.
jo kisi k kam na a saky. main wo ek musht-e-gubar hun.
na to main kisi ka habib hun.
na to main kisi ka raqib hun
jo bigar gaya wo nasib hun.
jo ujar gaya wo dayar hun.
mera rang-rup bigar gaya.
mera yar mujh se bichar gaya.
jo chaman fizan mein ujar gaya.
main usi ki fasl-e-bahar hun.
parhne fateha koi aye kyun.
koi char phul charhaye kyun.
koi ak shamma jalaye kyun.
main wo bekasi ka mazar hun.
main nahin hun nagma-e-janfishan.
mujhe sun k koi karega kya.
main bare barog ki hun sada.
main bare dukh ki pukar hun.
#36
International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.